RIZQ AUR SHADI LIKHY HUWAY

RIZQ AUR SHADI LIKHY HUWAY
Question :
Kia rizq aur shadi k bary mai Looh-e-mehfoz mai likha huwa hai?
Answer :
Qalam ki paidish sy ley ker roz-e-qayamat tak ki her cheez ko Allah Ta'ala ny Looh-e-Mehfoz mai likh rakha hai. Allah Subhan-o-Ta'ala ny sab sy qalam paida farmaya to issy hukam dia: "to likh, is ny arz kia: Aye Mery RAb! mai kia likhun, farmaya: jo kuch huny wala hai woh likh dey to qalam sy issi lamhey woh sab kuch likh dia jo qayamat tak huny wala hai."
Jamia At'tarmzi'hadis: 2155, 3319, wa sanan abi daud' hadis: 4700.
Aur Nabi Akrem (S.A.W) ny farmaya hai:
"shikem mother mai jab janain per 4 maah guzar jaty hain to Allah Ta'ala is k pass farishta bhejta hai jo is mai rooh phonkta hai aur is ka rizq, ajal, amal aur shaqi hai ya saeed, likh daita hai.
sahi albukhari'hadis: 3208' wa sahi muslim' hadis: 2643.
Rizq bhi likha huwa hai, is mai kami beshi nahi hu sakti. haan talab rizq k jo asbab insan ikhteyar kerta hai, in mai sy aik sai-o-koshish bhi hai, jaisa k Irshad bari Ta'ala hai:

"Wohi to hai jis ny tumhary liye zameen ko naram kia to tum iski rahu mai chalu phiro aur Allah ka (dia huwa) rizq khau aur tumhain issi k pass (qabron sy) nikal ker jana hai."
Al Mulk 67:15.
Inhain asbab mai sy aik sulah rehmi, yani waldain sy naiki kerna aur rishty daron sy husan salok bhi hai. NAbi Akrem (S.A.W) ny farmaya hai:

"Jo shakhs yh pasand kery k is k rizq mai farakhi aur is ki umer mai darazi hu to issy apny rishty daron sy sulah rehmi kerni chaheye."
sahi albukhari' hadis: 5986' wa sahi muslim' hadis: 2557.
Aur inhi asbab mai sy aik taqwa bhi hai, jaisa k Irshad bari TA'ala hai:

"Aur jo koi Allah sy daryga, woh is k liye (ranj-o-aalaam sy) khulasi ki sorat paida ker dy ga aur iski aisy jagah sy rizq dega jahan sy isko wahem-o-gumaan bhi nahi hu."
At'talaq 65:2,3.
Lekin app yh na kahen k rizq to likha huwa hai aur mehdod hai, lehaza mai hasool rizq k liye asbab ikhteyar nahi karonga Qk yh to ajiz-o-dermandgi hai. aur aqal-o-aihteyat ka taqaza yh hai k app rizq aur deen-o-dunia ka faida hasil kerny k liye koshidh karen, NAbi (S.A.W) ny farmaya hai:

"Aqal mand woh hai jo apna muhasba khud kerta hai aur mout k baad ki zindagi k liye amal kary aur aajiz woh hai jo apny nafs ko khuwaishat k peechy laga ker Allah TA'ala sy umeed laga ley."
Jamia At'tramzi'hadis: 2459' wa sanan abi majah' hadis: 4260' wa masnad ahmed: 4/124.
Jis tarhan rizq likha huwa aur asbab k sath muqader hai, issi tarhan shadi ka mamla bhi likha huwa hai, mian bivi mai sy her aik k liye yh likha huwa hai k iski shadi is sy hogi aur Allah Ta'ala sy to asmano aur zameen ki koi cheez bhi makhfi nahi hai. (As'shiekh ebn esimeen)

No comments:

Post a Comment