BIVI KO SHOHER K SATH JANY SY ROKNA

BIVI KO SHOHER K SATH JANY SY ROKNA

Question :
Jab koi nojawan kisi khandan sy rishta talab kerny k liye aata hai to larki ka walid bohat ziadah haq maher ki shart aeed ker daita hai, jab shadi per fariqqen ka itefaq hujata hai aur nojawan shadi ker laita hai to phir walid larki shoher k sath is k ghar jany sy rok daita hai ta k woh larki issi ki khidmat kerti rahy, larki ko bhi si sy bohat pareshani hoti hai k ab woh apny walid hi kghar mai rahy ya apny shoher k ghar jaye, is sy bohat si aur mushkilat bhi paida hoti hain. umeed hai k app is tarhan k masail mai logo ko sahi tarz amal ki rehnumai farmain gey.
Answer :
Allah Subhaan-o-TA'ala ny apny bando k liye is baat ko mashro qarar dia hai k maher kam houn aur in mai miyana ravi ko ikhteyar kia jaye, issi tarhan waleemay ki dawaton mai bhi aitadal ko paish-e-nazar rakha jaye ta k her aik k liye asani aur sahulat k sath shadi kerna mumkin hu, naiki k kaam mai aik dosrey k sath ta'awun kia ja saky aur nojawan aur larkiyo k liye effat-o-pakdamni ki zindagi basar kerny k liye maqdor bhar koshish ki ja saky.
Hum ny is mozo per kai baar likha hai ta k musalmano ki hamderdi aur kher khuwahi ka fareeza ada kia ja saky aur inhain haq baat ki wasiyat ki ja saky. is mozo sy muta'aliq "majlis kibar ulama" ki taraf sy bhi kai qarardaden aur sifarishat jari huwi hain. jin ka khulasa yh hai k maher ko kam huna chaheye, walemay ki dawato mai takalluf nahi hona chaheye, naiz in mai muashrey ko her ius cheez ki tergeeb di gae hai, is sy nojawano ko shadi kerny mai asani hu, mian bhi apny tamam musalman bahiun ko yh vasiyat karon ga kay wo bhi is masly mian aik dosary kay tawun karyn ta kay nikah ki kasrat ho, badkari ka sadbab ho or nogawan larko or larkio ko effat-o-pakdamni ki zendagi basar karny ka mukah muyasar aye.is mian sak nhi hay kay shadi hi effat-o-pakdamni ka sab say aham zariya hay, jysa kay nabi akram (S.A.W) nay bhi farmaya hay:

"aye garooh nujawana !tum main sy jo shaks nikkah karny ki taqat rakhta ho tu wo shadi ka ly Qk yh nazar ko bohat ziadah neechi takhny wali aur sharamgaah ki khoub hifazat kerny wali hai aur jissy isteqamat na hu to issy roza rakhna chaheye Qk roza iski jinsi khuwaish ko kuchal deyga."
sahi albukhari" hadis: 5066' wa sahi muslim' hadis: 1400 wallafaz laah.
Sahi hadis mai hai, RAsool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"Jo shakhs apny (musalman zarorat mand) bhai ki kisi zarorat ko pura keryga Allah Ta'ala iski zarorat ko ura farmai ga.
sahi albukhari' hadis: 2442' wa sahi muslim' hadis: 2580.
Rasool Allah (S.A.W) ny irshad farmaya:

"jab tak koi shakhs apny (musalman) bhai ki madad kerta rehta hai, is wqt tak Allah Ta'ala is bandey ki musrat farmata hai."
sahi muslim'hadis: 2669.
Allah Subhaan-o-TA'ala ny apny bando ko yh hukam dia hai k woh naiki aur perhaizgari k kamo mai aik dosry k sath ta'ayon karen. Allah Ta'ala ny spny in bandon ki ta'areef farmai hai jo aik dosry ko haq aur sabar ki talkeen kerty hain, chanacha irshad bari Ta'ala hai:

"Asar ki qasam k her insan nuqsan mai hai magar woh log jo emman laye aur naik amal kerty rahy aur apus mai aik dosry ko haq (baat) ki talqeen aur sabar ki takeed kerty rahy."
Al Asar 103:1-3.
Bila shak-o-shuba haq maher aur dawat-e-walima mai takhfif k liye ta'awun aur talqeen bhi issi baat mai shamil hai, is takhfif ka faidah yh hai k is sy nikkah bakasret huny lagain gey, kanwary nojawan larko aur larkiyu ki tadad mai kami aajayegi, sharamgahu ki hifazat hogi, nazrain neechi rahaingi, Fawahish-o-munkirat mai kami aajayegi aur ummat ki tadad mai khatir khuwah ezafa hoga, jaisa k NAbi (S.A.W) ny farmaya hai:

"Ziadah mohabbat kerny wali aur ziadah bachy janam dainy wali orat sy shadi karo Qk roz qayamat tumhari kasrat ki wajah sy mai ummaton per fakhar karonga." Masnad Ahmed: 3/ 158wa 425' wa sanan abi daud' hadis:2050' wa sanan an'nasai' hadis: 3229 wa sahi ebn habban' hadis: 4028.
orat k walid ya bhai ka issy apny shoher k sath safar kerny sy mahez is liye mana kerna k woh iski khidmat mai lagi rahy ya is k ont aur bakriyon ko churati rahy to yh aik munkir (bura) aur najaiz amar hai. balky orat k walee per wajib hai k woh zajaiz ko ikhata kerny aur inki dori ko visaal mai badalny mai muavinat kery aur issy her is cheez sy ijtanab kerna chaheye jo kisi sharai jowaz k bagair iski alaidgi ka sabab bany. mai orton k wariso ko yh bhi wasiyat karonga k woh apni khawateen ki hum pala logo sy shadi mai takher na karen, khuwah woh mali tour per faqeer hi houn balky inhain chaheye k hasb-e-zail irshad bari Ta'ala per amal kerty huway is k sath ta'awun karen:

"Aur apny mai sy be nikkah mardo, orton ka nikkah k do aur apny gulamo aur londiyo sy jo naik hain in ka bhi agar woh moflis houngey to Allah inko apny fazal sy ghani aur khushali ker dey ga."
AlNoor 24:32.
Is ayaat kareema mai Allah Subhan-o-TA'ala ny gair shadi shuda mardo aur orton aur naik gulamo aur londiyo k nikkah ker dainy ka hukam dia hai aur is ny humain yh khaber di hai aur woh khaber dainy mai bilkul sacha hai k shadi faqeer-o-moflis logo k liye maldari aur khushaali ka sabab hai, Allah TA'ala ny yh khaber is liye di hai tak shoher aur orton k walee mutmain hujayen k faqr-o-aflas ki wajah sy shadi ko tark nahi kerna chaheye Qk shadi to bajai khud rizq aur dolat ka sabab hai. hum Allah Ta'ala sy dua kerty hain k woh tamam musalmano ko kher-o-bhalai ki toufeeq bakhshy.

No comments:

Post a Comment