JAMA'A K BAAD GUSAL KERNA WAJIB HAI

JAMA'A K BAAD GUSAL KERNA WAJIB HAI

Question :
Bawaqat jama'a dakhul huwa magar inzaal nahi huwa to kia is sorat mai bivi per gusal janabat wajib hai? Agar aurat k rahem mai many hamal masnoi jhili rakhi hu to kia is sorat mai bhi is per gusal wajib huga ya azaa ko dhona hi kafi hoga?
Answer :
Haan! Mehaz dakhul hi sy gusal janabat wajib hujayega agarcha woh kitna hi kam hu.
Rasool Allah (S.A.W) ka irshad hai:

"Jab admi ny aurat ki 4 shakhu k darmiyan baith ker dakhul kia to is per gusal wajib hugaya, chahe inzaal na huwa hu."
Sahi albukhari'hadis:291' wa sahi muslim'hadis:348.
Dosri hadis mai hai:

"Jab mozay khatna khatny ki jagah sy guzar jaye to gusal wajib hugaya."
Jamia altramzi'hadis:108'wa sana ebn majah'hadis:611.
Reham mai many hamal cheez rakhny ki sorat mai bhi gusal wajib huga Qk is sy aam tour per dakhul aur inzaal hujata hai.wazo sirf issi sorat mai kafayat kary ga jab dakhul k bagair mehaz lums huwa hu. (Shiekh Ebn Jabrin)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻 🌻 🌻 🌻 🌻 🌻 🌻 🌻

No comments:

Post a Comment