KHANA PAKANY AUR KAPRY DHONY K LIYE KAFIR SY KHIDMAT LAINA

KHANA PAKANY AUR KAPRY DHONY K LIYE KAFIR SY KHIDMAT LAINA

Question :
Hamary haan aik gair muslim khadima hai, kia mai is k hath sy dhuly huway kapron mai namaz parh sakti hoon?NAiz kia mai is k hath ka tiyar karda khana kha sakti hoon? Elawah azaiz kia mery liye in k aitraaz karna aur iska butlan sabit kerna jaiz hai?
Answer :
Kapry dhony, khana pakany aur is tarhan dosry kamon k liye kafir sy khidmat laina jaiz hai.issi tarhan is k hath ka paka huwa khana khana aur is k hath k dhuly huway kapry pehn'na bhi jaiz hai Qk is ka zahri badan pak hai aur iski najasat manvi hai.Sahaba Karaam R.A. kafir londiyon aur gulamo sy khidmat laity thy aur bila-o-kuffar sy dar amad shuda khuraak kha laita thy.Qk woh is baat sy agaah thy k in k badan hassi tour per pak hain.haan Irshadat Paigamber (S.A.W) sy yh zahir hota hai k agar gair muslim log bartano mai sharab noshi karty aur in mai murad aur khanjeer ka gosht pakaty hoon to zarorat k wqt inhain istemal sy pehly achi tarhan dhou laina chaheye.
sahi muslim mai Hazrat Abbu Sulba khashni R.A. ki ravayat mai hai k inhuny RAsool Allah (S.A.W) sy sawal kia: Aye Allah k RAsool! hum Ahl-e-Kitaab kuffar k elaqy mai hoty hain to kia in k bartano mai khana kha liya karen?App (S.A.W) ny farmaya:" Agar tumhain in k bartano k elawah bartan mil jaian to phir in k bartano mai khana na khau aur agar in k elawah bartan na milain to phir inhain achi tarhan dhou kar in mai khana kha lo." [sahi mslim'Hadis:1930.]
Issi tarhan agar in k kapry istemal kerny ki zarorat ho to aisy kapron ko, jo sharamgaah sy mutasil houn,dhou laina chaheye.
Jahan tak in k deen per aitraaz kerny aur is ka butlan sabit kerny ka ta'aluq hai to deen sy maqsood agar in ka majoda deen hai to aisa kerna jaiz hai Qk in k majoda adyan ya khud sakhta hain jaisa k but parasti hai ya woh muharrif aur mansokh hain jaisa k nusraniyat hai.to is sorat mai angasht numai aur haraf geeri khud sakhta, tabdeel shuda aur mansokh deen per hogi na k asal aur manzil man Allah deen per.Waisy bhi yh baat App k zemay hai k App inhain islam ki dawat dain, islami ta'aleemat aur in ki azmat ka tazkara karain aur is k sath sath deen ISlam aur deegar adyaan batla k mabain farak ko wazeh karain. (Shiekh Ebn Jabreen)

No comments:

Post a Comment