JANNAT MAI AURAT KA SAWAB

JANNAT MAI AURAT KA SAWAB

Question : Mai jab Quran Majeed ki tilawat kerti hoon to eski aksar o beshter ayaat mubarka mai Allah Ta'ala momin mardon ki hussen o jamil houron ki khushkhabri deta nazar atta hai.to kia aurat k liye akhrat mai es k khawand ka naimulbadal nahi hai?es tarhan enamat o karamaat k zaman mai bhi aksar momin mardon hi sy khatab kia gaya hai to kia momin aurat,momin mard k muqably mai kum ter enmaat o karamat ki haqdar hai? Answer : Es mai koi shak nahi k akharvi sawab ki khushkhabri mard o zan k liye aam hai.Allah Ta'ala ka faraman hain: "yaqinan mai tum mai sy kisi amal kerny waly k amaal ko,khuwaah wo mard ho ya aurat zaya nahi kerta." All Imraan 195:3 dosri jagah irshad farmaya: "naik amal jo koi bhi karyga wo mard ho ya aurat,bashart yh k wo sahib eman ho to hum issy zaror pakeza zindagi ataa karain gay." Alnahal 97:16. Naiz irshad hota hai: "Aur jo koi bhi naik amaal karyga,khuaa wo mard ho yaaurat,es haal mai k wo sahib emaan ho to aisy log jannat mai dakhil hongyn." al nissa'a 124:4. Issi tarhan irshad bari Ta'ala hai: "Be shak islam lany waly mard aur islam lany wali auratain, emaan lany waly mard aur emaan lany wali aurtain,farmaan bardar aurtain, such bolny mard aur such bolny wali aurtain,sabar kerny waly mard aut sabar kerny wali aurtain,Allah sy darny waly mard aur Allah sy darny wali aurtain,sadqa kheraat kerny waly mard aur saddqa kherat kerny wali aurtain,razy rakhny waly mard aur raza akhny wali aurtain,apni sharam gahoon ki hifazat kerny waly mard aur apni esmaton ki hifazat kerny wali aurtain aur Allah ka kasrat ay zikar kerny waly mard aur zikar kerny wali aurtain,Allah Ta'ala sy in k liye bakhshish aur ajar e azeem tiyar kia hai." al ehzaab 33:35. Issi tarhan Allah Ta'ala ny tamam momin mardon aur aurton k jannat mai dakhlay ka zikar farmaya,maslan: "wo aur unki biwiyan sayoon mai hain." Yasin 36:56. phir farmaya: "tum aur tumhari biwiyan khush o kharam jannaat mai dakhil hojau." Allah Ta'ala ny aurton ko dobara paidaa kerny k bary mai farmaya hai: "yaqinan hum ny un aurton ko khas tour per banaya hai,hum ny inhain aisi banaya k wo kanwari rahian geen." Alwaqiya 43:70. "yani Allah Ta'ala borhi aurton ko naay siray sy kunwara pan ataa krega jisa k borhy mardon ko dobara jawani sy nawazy ga." Allah Ta'ala aurton ko jannat mai jis khasosi aizaz o ikraam sy nawazain gay iska tazkara Raool Allah (S.A.W) k faramin mai bhi jagah jagah milta hai. misal k tour per App ny um mul momineen Ayesha k khasosi aizaz ka tazkara kerty huway farmaya: "kia tum es baat per razi nahi k dunia aur akhrat mai meri bivi raho."[silsila alahadis al sahiha'hadis:1142.] Hazrat Ayesha R.A. ny arz ki:Q nahi. App (S.A.W) ny irshad farmaya: "Tum dunia aur akhrat mai meri bivi ho." issi tarhan App (S.A.W) ny farmaya: "Maryam bint e imraan k sath sath Hazrat Fatima,Hazrat Khdija aur Hazrat Asiya firon ki bivi (R.A.) jannati khawatiin ki sardar hain."[silsala alahadis al sahiha'hadis:1134.] Aik aur hadis mai ata hai k dunia ki aurton ko inki ebadat aur etat guzari ki waja sy jannat ki horoon per fazilat hasil hogi.momin aurtain bhi jannat mai mardon ki tarhan dakhil hongi.agar dunia mai aik aurat ny yaky baad degary kai mardon sy shadi ki hogi aur in k hamraah jannat mai dakhily ki haqdar hogi to issy in mai sy kisi aik khawand k intikhab ka haqhasil hoga,wo in mai sy umdaah tareen ikhlaaq waly ka intekhab kerygi. (shiekh ebn e jabreen) Al badaiya wa al nahaiya:289/1. Tanbheeh: Shiekh Ebn e Esimeen Rehma ul Allah ny fatway mai yoon likha hai: "Yh bat tai shudah hai k zawaj(shadi) tamam nafos ki margooob cheez hai aur wo Ahl jannat ko hasil hogi. jannati chahe mard ho ya aurtain,Allah Ta'ala jannat mai jannati aurat ki shadi es mard sy kare gain jo dunia mai es ka khawand raha hoga,jesa k Allah Ta'ala ka irshad hai: "Aye hamary perwardigaar! inhain hameshgi ki behshaton mai dakhil farma dy jin ka tony in sy wadaah ker rakha hai aur in k waldian aur biviyon aur olaad mai sy jo behshat k laik hoon."(Al momin 8:40.) agar kis aurat k dunia mai yak-e-baad degary do (ya zaeed) khawand hungyn to wo jannat mai in mai sy aik ka intekhab karygi.aur agar kisi aurat k dunia mai shadi hi nahi ki to Allah Ta'ala jannat mai uski shadi aisy mard sy keryga jis sy iski akhain thandi hungi." Phir mazeed farmaty hain:"kaha jasakta hai k Allah Ta'ala ny to sirf khobsorat horoon ka zikar kia hai aur wo aurtain hain jab k aurton k liye khawand ka zikar nahi kia?to is k jawab mai hum kehna chahe gain k Allah Ta'ala ny khawandon k liye biviyon ka zikar farmaya hai Qk khawand hiki taraf sy mutalba aur jinsi ragbat ka izhar hota hai."intekhab k hawaly sy in hazraat ki bat mahel nazar hai Qk aik sahi hadis mai aya hai: "aurat akhri khawan k liye hogi." (Al sahi:1281)(Abdul walee)

No comments:

Post a Comment