MANEY HAMAL GOLIYON KA ISTEMAL

بسم اللہ الرحمن الرحیم
MANEY HAMAL GOLIYON KA ISTEMAL

Question :
Shadi shuda khawateen k liye maney hamal goliyan istemal kerny ka kia hukam hai?
Answer :
Kasrat olaaad ya in per akhrajat k khouf k paish-e-nazar orton k liye maney hamal goliyon ka istemal najaiz hai.
Irshad Bari Ta'ala hai: " aur tum apni olaad ko gareebi k dar sy qatal na karo, hum inhain bhi rizq daity hain aur tumhain bhi, beshak inka qatal kabeera gunaah hai." [Bani Israeel 17:31.]
Tanbeeh: Shiekh Ebn Jabreen ny aisy hi aik fatway mai you likha hai: "Zarorat k elawah mustakil tour per hamal rokna ya issy wqti tour per ma'atal kerna najaiz hai. zarorat ka pemana yh hai k qabil aitmad Qualified Doctor yh faisla ker dey k wiladat bimari mai ezafey ka baees ban sakti hai ya hamal aur phir waza hamal sy orat ki halakat ka dar hai. elawah azee mustaqil ya wqti tour per hamal rokny k liye khawand ki raza mandi bhi zarori hai, phir uzar khatam hony per orat guzashta halat per lout ayegi. bivi ki bimari, jasmani kamzori, waza hamal ki takleef ka adam bardasht aur munasib tour per bachu ki tabiat na ker sakna bhi zarorat k zaaman mai ata hai.
Aur agar orat k liye hamal nuqsan dey hu ya bachy ki wiladat operation k bagair tabai tour per na hu sakti hu ya is tarhan ki koi aur zarorat lahaq hu to aisy halaat mai aisi goliyon ka istemal kisi aur aitbaar sy nuqsan dey hai to hukam tabdeel hujayega.
(Dar-ul-ifta committee)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment