MUSHTERKA TOUR PER QURBANI KERNY WALY BAAL NA KATWAIN

بسم اللہ الرحمن الرحیم 
MUSHTERKA TOUR PER QURBANI KERNY WALY BAAL NA KATWAIN

Question :
Mai aik bewaah orat hoon. mery bety aur aik beti hai aur hum sab aik hi ghar mai rehty hain. hamara maal-o-asbab bhi aik hi hai k shohar ki wafat k baad hum ny issy taqseem nahi kia. mai her saal apny aik bety ko qurbani ka janwar kharedny aur zeebah kerny k liye keh daiti hoon to sawal yh hai k kia hum sab k liye ya kis k liye yh lazim hai k woh ashraa zulhijja mai baal aur nakhun na katy?
Answer :
Agar amar waqy issi tarhan hai jis tarhan sawal mai ziker kia gaya hai k App sab ka maal aur qurbani mai ishterak hai to phir app sab log qurbani kerny waly shumar hongey, lehaza maah zulhijja k agaaz k baad app mai sy kisi k liye bhi baal aur nakhun katna jaiz nahi hai. Qk NAbi Kareem (S.A.W) ka irshad hai:

"Jab tum zulhijjah ka chand dekh lo aur tum mai sy koi shakhs qurbani ka iradah kery to woh apny baal aur nakhun na katy." (shiekh ebn baaz)
sahi muslim' hadis:(41)-1977.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment