QURBANI KERNA WALY K LIYE KANGHA KERNA

QURBANI KERNY WALY K LIYE KANGHA KERNA

Question :
Agar orat qurbani kerna chahey to kia woh sar mai kanghi na kery? daree halat agar woh 10 din tak aisa na kery to issy shadeed wqt ka samna kerna parta hai, wazahet farmain.
Answer :
Hazrat Umme SAlma R.A sy sahi hadis marvi hai k NAbi (S.A.W) ny farmaya:

"Jab ashara zul Hijjah shoru hujaye aur tum mai sy koi shakhs qurbani daina chahay woh apny balon aur jism sy kuch na ukharey (katy.)"
Sahi muslim' hadis: 1977' wa sanan abi daud' hadis:2791.
Umm-e-Salma R.A. sy aik dosri ravayat marvi hai k Nabi (S.A.W) ny farmaya:

"Jab tum zul Hijjah ka chand dekh lu aur tum mai sy koi aik qurbani daina daina chahy to issy chahy k woh apny balon aur nakhunu sy kuch na ley, yani kuch na kaaty."
sahi muslim' hadis: (41)-1977' wa jamia at'tramzi' hadis: 1523.
Aulma-e-karam farmaty hain k is sy murad baal mondana, katna, ukharna, jalana ya powder wagaira sy in ko zail kerna hai, yh sab kuch mana hai. is bina per kanghi kerna ya balon ka sanwarna jaiz hai jo mazkorah muma'anat k tehat nahi aata jis tarhan k balon ko dhona aur hath wagaira sy ragarna jaiz hai. agar bila iradah koi baal gir jaye to bhi koi harj nahi . mazkorah bala tasreehat ki roshni mai orat k liye zarorat k paish-e-nazar balon mai kanghi kerna jaiz hai. Qurbani nafli hu ya farzi is koi farq nahi parta. Wallah A'alim (shiekh ebn jabreen)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment