SHADI PEHLY

SHADI PEHLY.....!

Question :
Aik rivaj sa ban gaya hai k larki ya iska baap, larky walon ki taraf sy magni ka paigam is uzar ki bina per rad ker daity hain k abhi larki ko sanvi ya university ki satah tak taleem mukammal karni hai ya ese mazeed chand saal zery taleem rehna chahiye, is tarha baaz larkia tees bars ya is se bhi zaid umar tak pounch jati hai. is bary main sharai hukam hai? ap inhy kia kehna chahy gy?
Answer :
Tamam naujawan larko or larkio ko hamari nasiyat hai k isbabe zawaj muyassar any par inhy foran shadi kar leni chahiye, is liye k nabi (S.A.W.W) ny farmaya:
[10/09 11:15 AM] عبدالقيوم ریاضی وسمی: "Aye Nojwano! tum mai sy jo shadi ki taqat rakhta ho woh shadi zaror kery, is liye k yh nigaho ko neecha rakhny wali aur sharamgaah ki hifazat kerny wali hai aur jo koi shadi ki taqat na rakhta ho to woh rozay rakhy k woh jawani k jazbat ko control kerny ka baees hain."
Sahih Bukhari hadis no. 5066 aur Sahih Muslim hadis no. 1400.
Dosri hadis mai hai:

"jab tumhein aisa shaks nikah ka paigham dy jis k deen aur ikhlak ko tum pasand karte ho to isy rista dy do, agar tum aisa nahi kroge to zameen mein fitna aur bohot bara fasad barpa hoga."
jamea trimizi, haids 1084, wa sunan ibn maja, hadis 1967.

"Ziadah bacho ko janam dainy wali aur bohat muhabbat kerny wali orton sy shadi karo, tehqeq mai tumhari wajah sy dosri ummato per qayamat k din fakher karonga."
sanan abi daud' hadis: 2050' wa masnad ahmed:3/158 wallafz laahu.
Shadi is liye bhi jaldi kerni chaheye k is mai beshumar maslehatain hain jin sy NAbi (S.A.W) ny agaah farmaya hai, maslan: yh k is sy nigaah jhuk jati hai, ezzat-o-abro mehfoz rehti hai aur afrad-e-millat-e-islamia ki kasrat hoti hai aur bari kharabiyon aur in k bheyanak nataij sy tahaffuz-o-salamti ki zamanat fraham hoti hai wagaira wagaira. Allah TA'ala tamam musalmano ko is baat ki toufeeq ata farmai jis mai in k deeni aur denvi amoor ki darusti hu. Inahu SAmeeon Qareeb.3
(shiekh ebn baaz)
Tanbeeh: aisy hi aik sawal k jawab mai As'sheikh ebn esimeen ny you farmaya hai: "musalman larkiyo aur in k sar parasto ko meri nasihet hai k woh dars-o-tadrees ka bahana bana ker shadi sy inkar na karen, albatta yh mumkin hai k larki bawqt nikkah khawand sy ta'aleem mukammal kerny ki shart laga ley, issi tarhan woh bacho ki masrofiyat mai nahi parti 2 saal k liye ta'aleemi silsala jari rakhny ki shart aieed ker sakti hai, is mai koi harj nahi hai. mazeed farmaty hain: " jo kuch meri samjh mai aya hai woh yh hai k agar orat ibtai ta'aleemi marhala mukammal ker k likhna parhna jaan ley, Quran Mazeed, iski tafseer, ahadis nibviya aur inki tashrihat sy faidah uthany k qabil hujaye to yahi kafi hai. haan aisy aloom mai maharat aur kamal kerna jo logo k liye intehai zarori hain, maslan: doctari wagaira k aloom, agar in aloom k hasool mai sharai mumnoaat, jaisy makhlot mahool wagaira na houn to koi harj nahi hai.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment