TASVIR KA HUKAM

                       بسم اللہ الرحمن الرحیم
TASVIR KA HUKAM

Question :
tasveer ka kya hukam hai? is k muta'aliq kon kon si ahadis warid hain? naiz kia saya daar aur gair sayadaar tasviron mai koi farak hai?
Answer :
mutaharik bil iradah ashia, maslan: insaan,janwar,parindah wagaira ki sorat gari ka naam tasveer hai.aur tasweer ka hukam yh hai k wo sharaan haram hai.is k muta'aliq kai aik ahadis warid hain jin mai sy chand aik yh hain:
(Alif) Abdul Allah bin masood R.A. sy rawayat hai k Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"qayamat k din sab logo sy sakht azaab tasveerain banany walun ko hoga."
sahi albukhari'hadis:5050, wa sahi muslim'hadis: 2109'wa lafaz laho.
(Be) Abdul Allah bin umer R.A. sy rawayat hai k Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"yaqinan taswerain banany walo ko qayamat k din azaab dia jayega.Inhe kaha jayega: jo chezain tum ny banai thin inhain zindaah karo."
sahi albukhari'hadis:5051, wa sahi muslim'hadis: 2108
(Jeem) Hazrat Ebn-e-Abbas R.A. ny RAsool Allah (S.A.W) ko farmaty huway suna:

"jis shakhs ny dunia mai koi tasweeer banai issy qayamat k rooz is tasweer mai rooh phonkany ka hukam dia jayega magar wo aisa nahi ker sakega"
sahi albukhari'hadis:5963, wa sahi muslim'hadis: 2110-(100)'wa lafaz laho.
(Daal) Hazrat Ebn-e-Abbas R.A.biyaan kerty hain k mai ny RAsool Allah (S.A.W) ko farmaty huway suna:

"her musaweer jahannum mai huga Allah Ta'ala us k liye her tasweer k badly aik jaan banaiga jo issy jahannum mai azaab degi."yani iski tasweerain jitni ziadah hongeen issi qadar usko takleef ziadah hogi."
sahi muslim'hadis:2110.
[03/09 3:03 PM] qisaiyed: (Haa) Hazrat Abbu Talha R.A. sy marvi hai k App (S.A.W) ny farmaya:

"jis ghar mai kutta aur tasweerain hon wahan farishty dakhil nahi hoty."
sahi albukhari'hadis:3225, wa sahi muslim'hadis: 2106
yh aur in jesi degar ahadis her tasweer k liye aam hain,inka saya hu ya na ho.gair sayadaar sy murad dewaar,kagaz ya kapry wagaira per banai gaee tasaviir hain.fataah makkah waly din Nabi (S.A.W) ka'abah mai dakhil huway to is mai muta'adid tasaweer majood thin.App (S.A.W) ny pani ka aik doul mangwaya aur yh farmaty huway inhain mitany lagy:

"Allah T'ala is quam ko barbaad kary jo aesi tasweerain banaty hain jihain wo zindaah nahi ker sakty."
sahi jamia assagiir'hadis:4292'wa silsala al ahadis sahiha'hadis:996.
tahum bamar majbori tasaweer waly currensy nouton k rakhny per gunaah nahi hoga. lekin yh tarika jari kerny aur is per amaal kerny waly gunaahgaar hongy, issi trhan passport aur shanakhti cards wagaira bhi mustashna hungy Qk zarorat k tehat inhain apny pass rakhna zarori hai.lekin yh ejazat baqadar zarorat hi hogi. Wa Allah a'alam. (shiekh Ebn jabreen)

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment