HAIZA K HAJJ KA HUKAM

HAIZA K HAJJ KA HUKAM

Question :
Ayaam hajj mai agar kisi aurat ko haiz aajaye to kia issy yahi hajj kafayat ker sakta hai?

Answer :
Jab koi aurat hajj k dino mai haiz sy 2 4 hujaye to deegar hujaj ki tarhan tamam amaal hajj baja laye. haan woh taharat pany tak tavaf-e-kabaah aur sufa marva k dermiyan sai na kery. haiz sy faragat k baad woh gusal kery, tavaf-o-daa hi baki reh gaya ho tu woh wapsi ka safar ker sakti hai aur tavaf-o-daa na ker sakny ki wajah sy is per kufara nahi hai aur is ka hajj bhi sahi hoga. Aisy ho agar aurat ko youm-e-arfa mai haiz aajaye to woh apny hajj k tamam kaam kerti jayegi jaisy log kerty jayen gey magar woh taharat pany tak tawaf-e-kaba nahi kerygi. iski daleel Rasool Allah (S.A.W) ka yh irshad hai:

"Haiz aur nifas wali aurtain jab meeqat per ayen to gusal ker k ehram bandh len aur tawaf kaba k siwa tamam manasik hajj ada karen.
sanan abi daud' hadis:1744' wa jamia at'tramzi' hadis: 945.
Hazrat Ayesha R.A. sy marvi hai k woh manasik umraah ki adaigi sy pehly haiza hugaeen to NAbi (S.A.W) ny inhain hukam farmaya k " woh hajj ka aihram bandh len magar taharat pany tak Bait-ul-Allah ka tawaf na karen aur woh tamam manasik hajj baja layen jo deegar hujaj baja laty hain, naiz yh k woh hajj ko umrey mai dakhil ker den.
sahi albukhari' hadis: 1650.
Hazrat Ayesha R.A. sy yh bhi marvi hai k Nabi (S.A.W) ki zoja muhtarma Hazrat Safia R.A. haiza hugayee to inhuny is baat ka Rasool Allah (S.A.W) sy tazkara kia, is per App (S.A.W) ny farmaya:

"Kia woh humain rouk degi (rawangi muakhar kerni pareygi?) sahaba ny arz kia: woh tawaf efafa ker chuki hain. App (S.A.W) ny farmaya: tab koi harj nahi (woh bhi ravana hujaye.)"
sahi albukhari' hadis:1757' wa sahi muslim' hadis: (384)- 1211.
aik aur ravayat k ilfaz you hain:
"Ayesha R.A. ny biyan kia k Safia Bin-e-HAyi tawaf efafa kerny k baad haiza hugayee to mai ny is baat ka tazkara Rasool Allah (S.A.W) sy kia to Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya: " kia woh humain rok degi?" YA RAsool Allah! woh tawaf efafa kerny k baad haiza huwi hain. is per Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya: to phir woh ravana hujaye." (Darook Pak) (Dar-ul-ifta cammettie)
sahi muslim' hadis: (382)-1211.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
NON MUSLIM BROTHER AND SISTER KE LIYE FREE GUJARATI QURAN CONTACT KIJYE MAKTABA AL FURQAN SAMI 9998561553. .
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

No comments:

Post a Comment