EID UL AZHA K FAZAIL WA MASAYEL

❗Topic Number : 91❗

🍀 EID-UL-AZHA K FAZAIL WA MASAYEL
〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Part - 1 to 8

الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

As salamu Alekum Dosto...

💠 Dhul-hijjah islami saal ka 12wa mahina hai, waise toh saara mahina khair o barkat wala hai, lekin iske pahle 10 dino Ko khususi sharf haasil hai.

Daleel ⤵

🔘 Hz ibn Abbas (ra) bayan karte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne irshad farmaya:-

” ashrah dhul hijjah ke amaal e swaaleh allah taala ko jis qadr mahboob wa pasand hain, dusre dino ke aamal is qadr mahboob nahi,
sahaba kiram (ra) ne arz kiya:-

” aiy allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ! Dusre dino ka jihad bhi ?

Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:-” dusre dino ka jihad bhi is qadr mahboob nahin, haan mujaahid apni jaan aur maal allah taala ke raaste me qur’ban karde toh aisa jihad afzal aur pasandeedah ho sakta hai “

📚Bukhari jild 2 Hadees 969
📚 Abu dawood jild 1;332  miftah al haja sharah
📚 ibn majah
📚 baihaqi jild 4/285
📚mishkat jild 1/127,128

💠 TAKBEERAAT 💠

Dhul-hijjah ka chand dekhte hi takbiraat kahni shuru kar deni chahiye, chalte firte, uthte baithte takbeeraat kahte rahna chahiye.
Daleel ⤵

🔘 Hz Abullah bin umar (ra) aur hz abu hurairah (ra), dhul hijjah ke pahle 10 dino me jab bazaar ki taraf tashreef le jaate toh (chalte firte) takbeerein kahte aur log bhi unke saath takbeerein kahte"

📚Bukhari jild 1/132

💠TAKBEERAAT KE ALFAAZ 💠

“  allahu akbar, allahu akbar, la illaha illah, wallahu akbar wallahu akbar wallilahil hamd , allahu akbar allahu akbar allahu akbar kabeera “

📚dare kutni jild 2/50

💠 HAJAAMAT 💠

🔘 Jis shakhs ki taraf se qurbani karni ho toh us shakhs ko chahiye ke wah ashrah dhul hijjah (1 dhul hijjah tareekh se eid ki namaz tak ) ke dauraan apni hajaamat na banwaaye, dhul hijjah ka chand 🌙nazar aane se pahle apni hajaamat wagerah banwa sakta hai, kyonke qurbani karne wale ke mutaallik hai.
Daleel ⤵

🔘 ummul momineen hz umme salma (ra) bayaan karti hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:-”

jis shakhs ke paas qurbani ka jaanwar ho, aur wah usko qurbani ke din  qurbani ke liye zibah karna chaahta hai toh usko chahiye ke jab se dhul hijjah ka chand nazar aajaye toh wah apne baal aur naakhun wagerah na katwaaye (yani hajamat na karwaaye) yahan tak ke wah qur’bani kare ”

📚 Muslim jild 2/140
📚 Abu dawood jild 2/30
📚 Baiheqi jild 9/266 
📚Miskaat jild 1/127

💠 jis shakhs me qurbani karne ki taaqat nahi toh usko bhi chahiye ke wah bhi ashrah dhul hijjah me hajaamat na banwaaye Eid ke baad hajaamat banwaaye toh allah taala usko apni rahmat se qurbani ka sawab inaayat farma dega.
Daleel ⤵

🔘 jab ek aadmi ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se arz kiya ke mere paas qurbani ke liye toh koi jaanwar nahin, lekin mere paas ek doodh denewala jaanwar hai  kya main uski qurbani kar lun ?

Toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:-

nahin ! Balke tu eid ki namaz ke baad apne baal aur naakhun aur moochhen katwa aur apne zer e naaf baal moondh le, bas allah taala ke nazdeek yahi teri poori qurbani hai “

📚 Abu dawood jild 2/29
📚 Nisaai jild 2/201

💠 lihaaza qurbani ki poori iste’taaat na Rakhne waalon ki tarah dhul hijjah ka chaand dekh kar hajaamat na karwaayen, eid ki namaz ke baad hajaamat karwaayen...

💠ARFAH KE DIN KA ROZA💠

Dhul hijjah ki 9wi taareekh ko roza rakhne ki bhi badi fazilat hai.
Daleel ⤵

🔘 Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:-

” mujhe ummeed hai arfah ke roze ke sawaab ki allah taala ek saal ghujashta aur ek saal aainda ke gunaah maaf kar dega “

📚muslim jild 1/367
📚tohfa ahwazi jild 2/55-56
📚abu dawood jild 1/329
📚Baiheqi jild 2/283

💠EIDAIN KE DIN KHAANA💠

Eid ul fitr ki namaz padhne ke liye kuch kha pee kar jaana chaahiye, aur eid ul adha ke din eid ki namaz padhkar kuch khaana peena chahiye. Daleel ⤵

🔘 Hz abdullah bin bareeda (ra) apne baap se riwayat karte hain, wah kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam eid ul fitr ke din (eid ul fitr ki namaz padhne ke liye) nahin nikalte they yahan tak ki kuch khaa pee lete, aur eid ul adha ke din nahin khaate they, yahan tak ki eid ki namaz padh lete “

📚tohfatul ahwazi jild 1/380
📚darimi jild 1/314
📚Baihaqi jild 3/283

💠EIDGAAH KI TARAF PAIDAL JAANA💠

Eidgaah ki taraf paidal jaana sunnat hai.
Daleel ⤵

🔘 Hz ali (ra) farmate hain ke:-

"ye sunnat hai ke eidgaah ki taraf paidal jaana chahiye aur ( eid ul fitr ki taraf ) jaane se pahle kuch kha pi lena chahiye “

📚tohfatul ahwazi jild 1/373

⛔ sunnat yahi hai ke eidgaah ki taraf paidal chalkar jaaye aur waapas bhi paidal chalkar aayen,
haan ! Agar kamzor aur mareez hai, ya eidgaah door faasle par hai, itna chalne ki taaqat nahi toh phir sawaari par bhi aana jayez hai.

agarchah imam baiheqi ne abu dawood ke hawale se likha hai ke waapsi par sawaar ho kar aasakta hai

📚Baiheqi jild 3/281

💠 TAKBEERAAT 💠

Eidgaah ki taraf jaate waqt aur Waapas aate waqt  jahar ( buland awaz ) se takbeeraat padhni chahiye.
Daleel ⤵

🔘 Hz nafe (ra) riwayat karte hain , hz ibn umar (ra) se ke:-” ibn umar (ra) eid ul azha aur eid ul fitr ke din jab eidgah Ki taraf jaate toh buland awaaz se takbeerein kahte, yahan tak ke eidgaah me pahunch jaate phir eidgah me bhi pahunch kar takbeerein kahte, yahan tak ke imam sahab aajaate, eid ki namaz padhaane ke liye “

📚(daar e kutni jild 2/45)

💠AURTON KO EIDGAH ME LE JAANA💠

Aurton ka mardon ke saath eidgah me jana sunnat hai.
Daleel ⤵

🔘 Is bare me riwayat milti hain jinka khulasa ye hai
" Hz umme atiya (ra) bayan karti hai ke nabi e akram sallalaho Alaihi wasallam ne hamen is baat ka huqm diya hai ke :-”
ham apni naujawaan aur haiz waali aur pardah naseeh khwaateen ko eid ul fitr aur eid ul adha ke mauqe par eidgaah ki taraf le jaayen (taake wah eid ki namaz ada karen ) aur musalmano ki duaon aur bhalaai me shareek hon,”

haan haiz wali aurtein namaz se alaiheda (alag) rahen,hz umme atiya (ra) kahti hain ke maine arz kiya:-

aiy allah ke rasool ! Kisi ke paas chadar nahin hoti ?”

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam  ne farmaya:
uski ( musalman saheli, padosi ) bahem usko apni chadar pahna de “

📚Bukhari pg133
📚muslim jild1/291
📚tohfatul ahwazi jild 1/379
📚abu dawood jild 1/41
📚nisaai jild 1/131
📚darimi jild 1/314 📚baiheqi jild 3/306

➡ Note : in Hadees se Aurto ko eidgah le jane ki ahmiyat maloom hoti h kun aap sallallahu Alewasallam ne Haiz wale aurte yaha tak jis k paas chadar nahe us ko tak apni sahele ki chadar m aane ka hukm diya.

💠EIDAIN KI NAMAZ MASJID ME💠

Kisi gharz ki wajah se eidain ki namaz masjid me bhi padhi ja sakti hai.
Daleel ⤵

🔘 Hz abu hurairah (ra) bayaan karte hain ke ek dafa eid ke din baarish hogayi Toh baarish ki wajah se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne eid ki namaz sahaba kiram (ra) ko masjid me padhaai.

📚Abu dawood jild 1/164

📚Miftah al hajah sharah ibn majah pg 94

💠MUBARAKBAAD💠

🔘 Eid ki namaz ke baad jab aapas me ek dusre se milein toh mubarakbaad in alfaz ke saath den ⤵

” taqabbalaho wa minna wa minkum”

📚 Majmua ul zawaid jild 2/206

💠RAASTA BADALNA💠

Eid ki namaz se wapsi par raasta badal kar aana chahiye, ye sunnat hai.
Daleel ⤵

🔘 Hz jabir (ra) bayan karte hain ke jab eid ka din hota toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam jab eidain ke din (eid ki namaz ke liye) nikalte toh wapsi par dusre raaste se aate.

📚tirmizi jild 1/97

🔘 Hz ibn umar (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ek raaste se gaye aur dusre raaste se waapas aaye

📚Abu dawood jild 1/163
📚Baiheqi jild 3/309

💠EID KI NAMAZ QAZA💠

Agar kisi wajah se namaz mein shareek na ho saka aur eid ki namaz jamat se na ada ho saki toh akele do rakat namaz padh  Leni chahiye
Daleel ⤵

🔘 Hz ata (rh) bayaan karte hain ke:-” jab kisi ki eid ki namaz jaati rahe  (toh wah eid ki namaz ki tarah ) do rakatein padh le “

📚Bukhari jild 1/134

🔘 Baiheqi me hai ke hz anas (ra) se jab imam ke saath eid ki namaz faut ho jaati toh wah apne ghar walon ko jama karke eid ki namaz do rakat jamat se padh lete,

➡ 👆isi par imam bukhari ka qaul hai aur yahi fatawa hai imam shafai aur imam malik ka “

📚Nusratul bari 4/111

💠 QUR’BANI KE JANWAR AUR UNKI UMAR 💠

💠QURBANI KI TAAQEED💠

Allah taala taufeeq de toh qurbani zaroor karni chahiye aur uska ajar o sawab haasil karna chahiye, kitni badi khush naseebi hai ke har baal ke badle neki milegi, lekin kitna badnaseeb hai wah insan ke jo taaqat rakhne ke ba’wajood qur’bani nahi karta❗

💠QUR’BANI KE JANWAR AUR UNKI UMAR💠

Qurbani , oont , gaaye, bakri, aur bhedh (nar aur maada ki), ki jaati hai.

Pahle 3 jaanwaron (🐪Oont, Gaaye🐄, Bakra🐏) ka do daanta (One year old) hona zaruri hai. agar  mazkoorah 3 jaanwar do daanta na mil saken TOH bhedh, dumba, ki bhi qurbani ki ja sakta hai.
Daleel ⤵

🔘 Hz jaabir (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne farmaya:

” zibah karo, qurbani me Jaanwar magar do daanta, albatta jab tumpar aisa jaanwar milna mushkil ho jaaye toh tum qurbani ke liya dumba ka jaz’a zibah kar lo “

📚Muslim jild 1/155
📚Abu dawood jild 2/30
📚Nisai jild 2/203
📚Miftah al hajah 234
📚Baiheqi 269

➡ Note : Hamre mashre m ek Galat fahmi ye hai k kuch log kahte hai k Agr Bakra 1 saal ka ya 2 dantaa na ho lekin 1 saal jaisa Nazar aata hai to is ki Qurbani jayaz hai Lekin ye Hadees k khelaf Amal hai Agr Aisa Janwar na mile jo 1 saal ka ya 2 daanta ho tab Dumba Zubah kar sakte hai Bakra Nahe.

Wallahu Aalam...

💠JANWAR M AYEB💠

Qurbani ka jaanwar khoob mota taaza aur tandurust aur be’aib hona chahiye aur qurbani ke janwar me aisa aib na ho jiski wajah se unki qurbani durust na ho.
Daleel ⤵

🔘 Hz bara bin ajib (ra) marfu bayan karte hain k nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne irshad farmya:

” ye jaanwar qurbaan na kiye jaayen ⤵

1⃣ langda jaanwar, jiska langdapan zaahir ho,

2⃣ kaana, jiska kaanapan zaahir ho,

3⃣ jiski bimari zaahir ho,

4⃣ kamzor aur laaghar jiski haddiyon me gooda na ho,”

📚Tirmizi jild 1/216
📚Abu dawood jild 2/31
📚Nisaai jild 2/202

🔘 Hz ali (ra) bayan karte hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne hamen huqm diya Hai ke:
” ham (qurbani ke janwar ki, aankh aur kaan achhi tarah dekh len aur (ye janwar) qurban na karen ⤵

5⃣ jiske kaan ooper ki taraf kate hue hon,

6⃣ jiske kaan neeche ki taraf kate hue hon,

7⃣ jiske kaan lambaai ki taraf chire hue ho,

8⃣ jiske kaan me gol suraakh ho, “

📚Tirmizi jild 1/216,
📚Abu dawood jild 2/32,
📚Nisaai jild 2/202,
📚Mishkaat jild 1/128

🔘 Hz ali (ra) bayan karte hain ke:-” nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne hamen mana kiya hai ke (ye janwar) qurbani karen ⤵

9⃣ toote hue seengh waala

🔟 kate hue kaan waala “

📚Miftah al haja 234,
📚Mishkat jild 1/128,
📚Abu dawood jild 3/32

🔘 Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne (in janwaron ki qurbani karne se mana kiya hai) ⤵

1⃣1⃣ jiska kaan ukhaad diya gaya ho, aur uska sooraakh baaqi ho,

1⃣2⃣ jiska seengh jadh se nikal gaya ho,

1⃣3⃣ jiski aankhon ki roshni khatm ho gayi ho,

1⃣4⃣ itna kamzor ke rewad ke saath chalne ki bhi usme taqat na ho,

1⃣5⃣ is qadr dubla ke haddiyon me gooda na ho, ya paaon toot jaane ki wajah se chal na sake,

🔘 Ek Aur rewayta m In Janwaro ki bhe Qurbani Jayaz nahe ⤵

1⃣6⃣ wah jaanwar jiske khujli ho,

1⃣7⃣ wah jaanwar jiska than (breast) kata hua ho “

📚Abu dawood jild 2/31
📚Majmua al zawaid jild 4/19

💠BAAD ME AIB KA PAIDA HONA💠

Qurbani ka janwar tandrust aur be’aib hona chahiye, baaz auqaat aise hota hai ke qurbani ka jaanwar khareedte waqt sahih tha, lekin baad me usme koi nuqs paida ho jaata hai, jabke qurbani ke liye khareedte waqt wah be’aib tha,

iske mutaalliq Daleel⤵

🔘 Hz abu saeed khudri (ra) bayan karte hain ke ham ne qurbani ke liye ek mendha khareeda, toh  bhediya (deer) uske sureen aur kaan le gaya, hamne iske baare me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se poocha,
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne Farmaya:

”uski qurbani karo “

📚miftah al hajah sharah ibn majah pg 234

➡ Lekin ❗ye riwayat Zayeef hai, iske elawa is riwayat ko baiheqi aur ahmad ne bhi riwayat kiya hai,

⛔ baaz ulema ka khayaal hai aur unhone isse istadlal kiya hai ke:

” takhshees ke baad agar nuqs paida ho jaaye toh koi harz nahin, “

lekin baaz ulema isse daleel pakadna durust nahi samjhte ke ye riwayat Zayeef hai.

☑ isliye bahtar yahi hai ke jaanwar badal kar  be’aib tandarust khareed kar qurbani kiya jaaye,

⛔ haan itni gunjaish malum hoti hai ke :

” aadmi ghareeb hai aur jaanwar badalne ki taaqat nahi rakata toh wah qurbani kar le, kyonke na karne se bahtar hai “

💠MAYYIT KI TARAF SE QUR’BANI💠

🔘 Ek sahabe se riwayat hai, wah kahte hain ke maine hz ali (ra) ko dekha wah  do dumbe zibah karte they, maine kaha :

” ye kya hai ( yani tum do dumbe zibah karte ho ) ?”
toh unhone kaha:

” nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne mujhe farmaya ke main unki taraf se qurbani karun toh maine unki taraf se bhi qurbani karta hun “

📚Abu dawood jild 1/29
📚Tirmizi pg 180

➡Note :-  imam tirmizi ne ye riwayat ba’alfaz deegar apni sunan me pesh ki aur saath ye bhi likhe hain

” ye hadith ghareeb hai, isko ham nahin jaante❗

➡ magar shareek ki hadith se aur baaz ahle ilm ne rukhsat di hai ke qurbani ki jaaye mayyid ki taraf se, aur baaz ne nahin rukhsat di”❗

☑ ➡ Hz abdullah bin mubarak kahte hain :
” ke meri taraf ye ziyadah mahboob hai ke mayyit ki taraf se sadqah kiya jaaye aur qur’bani na kiya jaaye, agar Qurbani ki jaaye toh usse kuch na khaaye, tamaam ka tamam sadqah kar diya jaaye, “
mazeed tafseel ke liye dekhen.

📚tohfatul ahwazi jild 2 pg 354

💠 SAARE GHARWAALON KI TARAF SE EK JANWAR KAAFI HAI 💠

Is hadith ke mutaallik.
Daleel ⤵

🔘 Hz ata bin yasaar riwayat karte hain ke maine hz abu ayyub ansari (ra) se poocha:
” ke tum nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke zamane me kaise qur’baaniyan karte they❓”
toh kaha ke:

” ek admi qurbani karta tha ek bakri ki apni taraf se aur apne ahle khaana ki taraf se wah khud isme se khaate aur auron ko bhi khilaate “

📚tirmizi jild 1/217,
📚Miftah al haja pg 234

💠OONT AUR GAAYE ME HISSE💠

TO BE CONTINUE ...
〰〰〰〰〰〰〰〰〰

📢 Please Forward to All

No comments:

Post a Comment