namz me seene par hath bandhna

Namaz me seene par hath bandhna 1) Hazrat Wayel Bin Hajar Radhi Allahu Anhu kehte hain: Maine Rasool Allah ﷺ ke sath namaz padhi to aapne apna daaya hath baaye hath par rakh kar, seene par hath bandhe. [Ibn e Khuzaima 1/243 (479) ise Ibn e Khuzaima ne Sahih kaha hai] 2) Hazrat Halab Radhi Allahu Anhu farmate hain: Maine Rasool Allah ﷺ ko seene par hath rakhte hue dekha. [Musnad Ahmad 5/226, 22313, Hafiz Ibn e Abdul Barr aur Allama Azeem Aabadi ne ise Sahih kaha hai] 3) Hazrat Sahal Bin Sayeed Radhi Allahu Anhu se riwayat hai: Logon ko yeh huqm diya jata tha: Namaz me daaya hath baayi kalayi (zira) par rakhe. [Sahih Bukhari, Hadith 740] 4) Hazrat Wayel bin Hajar Radhi Allahu Anhu Rasool Allah ﷺ ki namaz ka tareeqa bayaan karte hue farmate hain ki aap ne daaye hath ko baaye ki hatheli (ki pusht) uske jod aur kalayi par rakha. [Nasai 889, ise Ibn e Hibban hadees: 485, Ibn e Khuzaima hadees: 4870 ne Sahih kaha hai] 5) Taauws Taabayin se (mursal) rivayat hai ki Nabi ﷺ namaz me seene par hath rakhte the. [Sunan Abu Dawood, Hadees 759] Hume bhi daaya hath baaye hath par is tarah rakhna chahiyen ki daaya hath baaye hath ki pusht jod aur kalayi par aa jaaye aur seene par bandha jaye taa ki tamam riwayat par amal ho sakey. Note: Rahi hazrat Ali Radhi Allahu Anhu ki riwayat ki sunnat yeh hai ki hatheli ko hatheli par zerey naaf par rakha jaye.[Abu Dawood, Hadith 756] Ise Imam Beyhaqi aur Hafiz Ibn e Hajar ne zaeef(kamzor) karar diya hai aur Imam Nawawi farmate hain ki uske zaeef par sab ka ittefaaq hai. Is riwayat ki sanad Abdur Rehman bin Ishaq Alkufi al-wasti ke zaeef hone aur Ziyad bin Zaid ke majhool hone ki wajah se zaeef hai.

No comments:

Post a Comment