AJNABI DRIVER K SATH AKELI ORAT KA SAWAAR HONA

AJNABI DRIVER K SATH AKELI ORAT KA SAWAAR HONA

Question :
Ajnabi driver k sath akeli orat ka is liye sawar hona k woh issy shaher tak pohancha dey, kia hukam rakhta hai? naiz kisi admi k bagair sirf ortain hi ajnabi driver k sath gari mai sawar houn to is ka kia hukam hai?
Answer :
Gair mehram driver k sath akeli orat ka gari mai sawar hona najaiz hai Qk yh khalwat k hukam mai hai aur Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya hai:

"Koi admi kisi orat k mehram k bagair is k sath khalwat mai na jaye."
Sahi albukhari' hadis: 5233' wa sahi muslim' hadis: 3272' wallafaz laahu.
App (S.A.W) hi ka irshad hai:

"Koi admi kisi orat k sath khalwat mai nahi jata magar teesra is k sath shetan hota hai."
Jamia At'tramzi' hadis: 2165' wa masnad ahmed: 1/18.
Haan agar donu k sath aik ya ziadah mard houn ya aik ya ziadah ortain houn to itmenan bakhsh halaat mai koi harj nahi, is liye k aik ya ziadah logo ki majoodgi mai khalwat khatam hujati hai. yaad rahy k yh hukam gair safri halat ka hai. jahan tak halat-e-safar ka ta'aluq hai to orat k liye jaiz nahi k woh mehram k bagair safar kery. NAbi (S.A.W) ka irshad hai:

"Koi orat merham k bagair safar na kary."
sahi albukhari' hadis: 1862' wa sahi muslim' hadis: 1338.
safar bare, behri ya hawai koi bhi hu sab ka aik hi hukam hai. Wallah walee at'toufeeq.
Shaikh ibn Baz

No comments:

Post a Comment