ILAAJ KA ISLAMI TAREEQA


AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

IS POST KA MAQSAD SIRF YE WAAZEY KARNA HAI HI BIMARI DENE WAALA AUR SHIFA DENE WALA SIRF AUR SIRF EK HI ALLAH HAI ISLIYE HAME SIRF USI SE SHIFA OR MADAD MAANGNI CHAHIYE AUR KISI GAIR (PEER, BABA, MUJAWAR ETC.) SE BACHNA CHAHIYE AUR ALLAH KE DIYE HUE SAADHAN(SOURCES) KA ISTEMAL BAKHOOBI KARNA CHAHIYE...

SADHAN (SOURCES) KO INSHAALLAH NEXT POST ME EXPLAIN KARENGE

ISLAM NE INSAN KO KISI BHI MAIDAN ME ANDHA NAHI CHHODA, YAHAN TAK KI PESHAB PAKHANA JAANE TAK KE USOOL WA TAREEQA BATAYA AUR BIMARION KE ILAAJ KE BAARE ME BHI ISLAM NE BAHUT WAAJEH TAUR SE BATAYA HAI,

ISLAM NE TARAH TARAH KI BIMARION KE ILAAJ KE LIYE DO TAREEQE BAYAN KIYE HAIN,

1- DAWAON(MEDICENE) SE ILAAJ

2- DHIKR AUR DUA SE ILAAJ

AB ZARA IN DO TAREEQO PAR ROSHNI DAALNA CHAHTA HOON JISSE KI AAP ACCHI TARAH SAMAJH JAAYEN,

DAWAON(MEDICINE) SE ILAAJ:

NABI KAREEM SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM KI YAH SUNNAT THI KI AAP APNE SE APNA ILAAJ KARTE AUR DUSRON KO ILAAJ KE LIYE NASEEHAT KARTE,

HR ABU HURAIRAH (RA) SE RIWAYAT HAI KI NABI (SAW) NE FARMAYA- "ALLAH TAALA NE DUNIYA ME JAB KOI BIMARI PAIDA KI TO USKA ILAAJ AUR DAWA(MEDICINE) BHI SAATH HI SAATH UTARI "
(BUKHARI)

HZ JAABIR (RA) SE RIWAYAT HAI KI NABI (SAW) NE FARMAYA-
"HAR BIMARI KE LIYE DAWA(MEDICINE) MAUJOOD HAI JAB DAWA KA ISTEMAAL BIMARI KE ANUSAAR KIYA JAATA HAI TO ALLAH KE HUKM SE SHIFA HO JAATI HAI"
(MUSLIM)

HZ OSAMA BIN SHARIK (RA) SE RIWAYAT HAI KI-
" MAI NABI(SAW) SE SAAMNE HAAZIR THA KI KUCH GAWON (VILLAGERS) KE RAHNE WALE LOG HAAZIR HUE AUR AAP SE POOCHA-"AIY ALLAH KE RASOOL (SAW) ! KIYA HUM DAWA(MEDICINE) KAREN? AAPNE FARMAYA-AIY ALLAH KE BANDON! DWA KARO KYONKI ALLAH NE JO BIMARI DUNIYA ME PAIDA KI HAI TO USKI SHIFA AUR DWA BHI PAIDA KI HAI SIRF EK BIMARI KI KOI DWA NAHI, LOGON NE POOCHA-WAH KAUN SI BIMARI HAI ? AAPNE FARMAYA-"BUDHAPA"

(IBN MAJAH)

EK AUR RIWAYAT ME YE ALFAAZ AAYE HAIN -
"ALLAH NE KOI BIMARI AISI NAHI UTAARI JISKE LIYE DWA AUR SHIFA NA UTAARI HO, KUCH LOGON NE MALOOM KAR LIYA AUR KUCH LOG NAHI JAAN SAKE"

(RAWAAH AHMAD)

NABI KAREEM SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM NE DAWA WA ILAAJ KARAANE KA HUKM DIYA AUR KUCH BIMARION KA ILAAJ BHI BATAYA HAI JIS PAR AAJ KE HAKEEM WA ILAAJ KARNE WAALE SIR DHUN RAHE HAIN

HZ ABU HURAIRA(RA) SE RIWAYAT HAI KI UNHONE NABI KAREEM (SAW) KO FARMATE SUNA-
"KALAUNGI ME HAR BIMARI SE SHIFA HAI, MAUT KE ELAWA"
(BUKHARI,MUSLIM)

HZ AISHA (RA) SE RIWAYAT HAI KI NABI (SAW) NE FARMAYA-
"BUKHAR(FEVER) JAHANNUM KI SAANS(BREATH) KA ASAR HAI, ISLIYE USE PAANI SE THANDA KARO"

(BUKHARI,MUSLIM)

HZ ABU SAYID KHUDRI SE RIWAYAT HAI-

"EK AADMI NABI (SAW) KI SEWA ME HAAZIR HUWA AUR KAHA ME BHAI KO DUST(DYSENTRY) AA RAHE HAIN, AAPNE FARMAYA-USE SHAHAD(HONEY) PILAAO, PHIR WAH AADMI HAAZIR HUWA AUR KAHA-MAINE SHAHAD PILAYA USSE DUST AUR BAD GAYA, AAPNE PHIR KAHA KI USE SHAHAD PILAAO, IS TARAH WO AADMI 4 BAAR AAYA TAB BHI NABI NE YAHI KAHA KI USE SHAHAD PILAAO,AUR AAKHIR USKA PET THEEK HO GAYA ...

(BUKHARI,MUSLIM)

ISI TARAH NABI KAREEM(SAW) NE HARAM CHEEZO SE BANI DAWA KO HARAAM KAHA HAI...

HZ ABU HURAIRAH SE RIWAYAT HAI-

"NABI (SAW) NE HARAAM DAWA SE MANA KIYA HAI"
(ABU DAWOOD, TIRMIZI,IBNE MAJAH)

HZ ABDULLAH BIN MASUD FARMATE HAI-

"BESHAK HI ALLAH NE TUMHARI SHIFA US CHEEZ ME NAHI RAKHI HAI JIS KO TUM PAR HARAM KAR DIYA HAI"
(BUKHARI)

HZ TARIQ BIN SUWAID HAJRAMI(RA) NE NABI KAREEM(SAW) SE SHARAB(WINE) TAIYYAR KARNE KE BAARE ME MALOOM KIYA TO AAPNE UNKO MANA KAR DIYA TO UNHONE AAPSE KAHA -MAIN DAWA KI LIYE USE TAIYYAR KARTA HOON TO AAPNE FARMAYA-" YAH DAWA NAHI BALKI BIMARI HAI"

(MUSLIM ,ABU DAWOOD, MUSNAD AHMAD)

DHIKR SE ELAAJ:

DUSRA ILAAJ KA TAREEQA JO ISLAM NE BAYAN KIYA HAI WO HAI QURANI AYATON AUR JHAAD PHOONK SE

HZ AISHA(RA) RIWAYAT HAI-" NABI (SAW) NE UNKE GHAR EK BACCHI KO DEKHA JISKA CHEHRA PEELA(YELLOW) PAD CHUKA THA, TO AAPNE FARMAYA ISKO BURI NAZAR LAGI HAI ISKI JHAAD PHOONK KARO,
(BUKHARI,MUSLIM)

HZ SHIFA BINT ABDULLAH (RA) SE RIWAYAT HAI-" NABI (SAW) TASHREEF LAAYE AUR MAIN PAAK PATNI HZ HAFSA KI PAAS THI, AAPNE FARMAYA-TUM PAHLU KI FUNSIYON KI DUA INKO KYON NAHI SIKHA DETI JIS TARAH INKO LIKHNA SIKHAYA HAI
(RAWAH ABU DAWOOD)

HZ ANAS (RA) SE RIWAYAT HAI-"NABI (SAW) NE BURI NAZAR ZAHREELE JAANWAR KE KAATNE, AUR DANK MARNE, AUR PAHLU KI FHUNSIYON ME JHAAD PHOONK KI IJAJAT DI HAI
(RAWAH MUSLIM)

HZ AUF BIN MALIK (RA) SE RIWAYAT HAI-" HUM JAHILIYYAT KE DAUR ME JHAAD PHOONK KARTE THEY, HUMNE POOCHA KI, AIY ALLAH KE RASOOL(SAW)! IS BAARE ME AAP KYA FARMATE HAIN? AAPNE FARMAYA- TUM APNE JHAAD PHOONK MUJHE BATAO, JIS JHAAD PHOOK ME SHIRK SE ALFAAZ NA HO USME KOI HARZ NAHI
(RAWAH MUSLIM)

HZ AISHA(RA) SE RIWAYAT HAI-" NABI(SAW) JAB BIMAAR HOTE TO SUR-NAAS AUR FALAQ PADHKAR APNE UPER DAM KARTE AUR JAB AAPKI BIMARI BADH GAYI TAB MAIN AAP PAR PADHTI THI, AAPKE HAANTHON KO AAPKE PAAK JISM PAR PHERTI TAAKI TAAKI AAPKE HATHON KI BARKAT HASIL HO
(BUKHARI,MUSLIM)

HZ USMAN BIN ABI AL AAS(RA) SE RIWAYAT HAI KI UNHONE NABI (SAW) SE APNE JISM ME DARD(PAIN) KI SHIKAYAT KI TO AAPNE FARMAYA-" TUM APNA HATH US JAGAH RAKHO JAHAN DARD HOTA HAI, AUR 3 BAAR BISMILLAH KAHO AUR 7 BAAR YE DUA PADHO " AUZUBILLAHI WA KUDRATIHI MIN SHARRI-MA UJIDU WA-UHAJIRU"

(RAWAH MUSLIM)

IN SAHIH HADEESON SE YE BAAT EKDUM SAAF HO JAATI HAI KI, QURANI AYATON, PAAK NAAM, AUR DHIKR AUR DUA KE SATH ILAAJ ISLAMI(SHARIE) ILAAJ HAI, ISKI YAHI SURAT HAI KI ROGI APNE AAP INKO PADHE YA APNE GHAR KE LOGON SE PADHWAYE YA KISI BHALE,YA KISI SHARIAT PAR PAABANDI SE AMAL KARNE WALE AADMI SE PADHWAYE, KISI KAFIR,MUSHRIQ,MAYAWI AUR BE AMAL LOGON SE JHAAD PHOONK KARWANA JAYEZ NAHI

JHAAD PHOOK KE BAARE ME MUSLIM ULAMA KE KUCH USOOL AUR NIYAM(RULES) BAYAN KIYE HAIN,

ALLAMA KHATTABI(RH) FARMATE HAIN-" NABI(SAW) NE JHAAD PHOONK KIYA HAI AUR AAPKO JHAAD PHOOK KIYA GAYA HAI, AAPNE ISKA HUKM FARMAYA HAI AUR IJAJAT DI HAI, AGAR QURANI AYATON YA PAAK NAMON SE JHAAD PHONK KIYA GAYA HAI TO YAH MUBAH HAI AUR MANAHI WA KARAHAT US JHAAD PHOOK SE HAI JO ARBI ZABAAN (LANGUAGE) ME NA HO KYONKI KHATRA HAI KI WO KUFRIYA AUR SHIRKIYA ALFAZO PAR HON

(TAYSIRUL AZIZUL HAMEED-165)

SHEIKH UL ISLAM ALLAMA IBN TAIMIYYA(RH) FARMATE HAIN-" KISI KE LIYE JAYEZ NAHI KI BEKAAR NAMON SE JHAAD PHOOK KARE CHAHE DUA KARE JABKI USKA MATLAB WAH JAANTA HO KYONKI ARBI KE ELAWA DUSRI ZABAN ME DUA JAYEZ NAHI SIRF UN LOGON KE LIYE CHHOOT HAI JO ARBI ZABAN NAHI JAANTE LEKIN GAIR ARBI ZABAN KO ISLAMI PAHCHAN BANANA ISLAM ME NAHI HAI
(TAYSIRUL AJIJUL HAMID-166)

ALLAM SEWTI(RH) FARMATE HAIN-" ULAMA KI 3 SHARTON PAR JAYEZ HONE KI RAZAMANDI HAI,

1-QURANI AYATEN YA ALLAH KE PAAK NAAM SE KIYA JAAYE

2-ARBI ZABAN ME HO,JISKA MATLAB MALUM HO AUR SAAF HO

3-YAH AQEEDA HO KI JHAAD PHOOK APNI JAGAH PRABHAWI NAHI BALKI SHIFA DENE WALA ALLAH HAI AUR JO ALLAH NE LIKH DIYA HAI WAHI HOTA HAI

IN SHARTON AUR USOOLON KA DHYAN RAKHTE HUE JHAAD PHOOK SE ILAAJ SHAREIE HAI,

BARTAN ME PHOONK MARNA JAYEZ NAHI

HZ IBN ABBAS(RA) SE RIWAYAT HAI-" NABI(SAW) NE BARTAN ME SAANS LENE YA PHOONK MARNE SE MANA KIYA HAI"
(IBNE MAJAH)

ILAAJ KE TAREEQE KE BAARE ME LOG EK GALTI YE KARTE HAIN KI DONO TAREEQON MESE KISI EK PAR BHAROSA KAR LETE HAIN, JABKI DONO TAREEQE DAWA AUR DUA KO APNANA CHAHIYE AUR HAR HAAL ME TAUBA AUR ALLAH SE MAAFI MAANGNE ME LAAPARWAHI NAHI KARNI CHAHIYE

ILAAJ KA SABSE BAHTAR TAREEQA NABI SALLALAHO ALLAIHI WASALLAM KA TAREEQA HAI

KISI SHAYAR NE KAHA HAI

KYA MILTA NAHI KHUDA SE,

JO TUM MAANGTE HO AULIYA SE,

THE END

No comments:

Post a Comment