ILAAJ KA ISLAMI TAREEQA (PART 2)

TO BE CONTINUED

HZ USMAN BIN ABI AL AAS(RA) SE RIWAYAT HAI KI UNHONE NABI (SAW) SE APNE JISM ME DARD(PAIN) KI SHIKAYAT KI TO AAPNE FARMAYA-" TUM APNA HATH US JAGAH RAKHO JAHAN DARD HOTA HAI, AUR 3 BAAR BISMILLAH KAHO AUR 7 BAAR YE DUA PADHO " AUZUBILLAHI WA KUDRATIHI MIN SHARRI-MA UJIDU WA-UHAJIRU"

(RAWAH MUSLIM)

IN SAHIH HADEESON SE YE BAAT EKDUM SAAF HO JAATI HAI KI, QURANI AYATON, PAAK NAAM, AUR DHIKR AUR DUA KE SATH ILAAJ ISLAMI(SHARIE) ILAAJ HAI, ISKI YAHI SURAT HAI KI ROGI APNE AAP INKO PADHE YA APNE GHAR KE LOGON SE PADHWAYE YA KISI BHALE,YA KISI SHARIAT PAR PAABANDI SE AMAL KARNE WALE AADMI SE PADHWAYE, KISI KAFIR,MUSHRIQ,MAYAWI AUR BE AMAL LOGON SE JHAAD PHOONK KARWANA JAYEZ NAHI

JHAAD PHOOK KE BAARE ME MUSLIM ULAMA KE KUCH USOOL AUR NIYAM(RULES) BAYAN KIYE HAIN,

ALLAMA KHATTABI(RH) FARMATE HAIN-" NABI(SAW) NE JHAAD PHOONK KIYA HAI AUR AAPKO JHAAD PHOOK KIYA GAYA HAI, AAPNE ISKA HUKM FARMAYA HAI AUR IJAJAT DI HAI, AGAR QURANI AYATON YA PAAK NAMON SE JHAAD PHONK KIYA GAYA HAI TO YAH MUBAH HAI AUR MANAHI WA KARAHAT US JHAAD PHOOK SE HAI JO ARBI ZABAAN (LANGUAGE) ME NA HO KYONKI KHATRA HAI KI WO KUFRIYA AUR SHIRKIYA ALFAZO PAR HON

(TAYSIRUL AZIZUL HAMEED-165)

SHEIKH UL ISLAM ALLAMA IBN TAIMIYYA(RH) FARMATE HAIN-" KISI KE LIYE JAYEZ NAHI KI BEKAAR NAMON SE JHAAD PHOOK KARE CHAHE DUA KARE JABKI USKA MATLAB WAH JAANTA HO KYONKI ARBI KE ELAWA DUSRI ZABAN ME DUA JAYEZ NAHI SIRF UN LOGON KE LIYE CHHOOT HAI JO ARBI ZABAN NAHI JAANTE LEKIN GAIR ARBI ZABAN KO ISLAMI PAHCHAN BANANA ISLAM ME NAHI HAI
(TAYSIRUL AJIJUL HAMID-166)

ALLAM SEWTI(RH) FARMATE HAIN-" ULAMA KI 3 SHARTON PAR JAYEZ HONE KI RAZAMANDI HAI,

1-QURANI AYATEN YA ALLAH KE PAAK NAAM SE KIYA JAAYE

2-ARBI ZABAN ME HO,JISKA MATLAB MALUM HO AUR SAAF HO

3-YAH AQEEDA HO KI JHAAD PHOOK APNI JAGAH PRABHAWI NAHI BALKI SHIFA DENE WALA ALLAH HAI AUR JO ALLAH NE LIKH DIYA HAI WAHI HOTA HAI

IN SHARTON AUR USOOLON KA DHYAN RAKHTE HUE JHAAD PHOOK SE ILAAJ SHAREIE HAI,

BARTAN ME PHOONK MARNA JAYEZ NAHI

HZ IBN ABBAS(RA) SE RIWAYAT HAI-" NABI(SAW) NE BARTAN ME SAANS LENE YA PHOONK MARNE SE MANA KIYA HAI"
(IBNE MAJAH)

ILAAJ KE TAREEQE KE BAARE ME LOG EK GALTI YE KARTE HAIN KI DONO TAREEQON MESE KISI EK PAR BHAROSA KAR LETE HAIN, JABKI DONO TAREEQE DAWA AUR DUA KO APNANA CHAHIYE AUR HAR HAAL ME TAUBA AUR ALLAH SE MAAFI MAANGNE ME LAAPARWAHI NAHI KARNI CHAHIYE

ILAAJ KA SABSE BAHTAR TAREEQA NABI SALLALAHO ALLAIHI WASALLAM KA TAREEQA HAI

KISI SHAYAR NE KAHA HAI

KYA MILTA NAHI KHUDA SE,

JO TUM MAANGTE HO AULIYA SE,

THE END

No comments:

Post a Comment