QURBANI AUR EID KE MASAIL

QURBANI AUR EID KE MASAIL

Al-Quran:apne Rab ke lye Namaz
perh aur Qurbani ker¤
(Al-Kauser, V# 2)

Al-Quran: keh dijye be-shak meri
Namaz aur meri Qurbani aur mera
Jeena aur mera Merna ALLAH
Rabul Aalameen ke lye hai¤
(Al-Anaam, V# 162)

Al-Quran: ALLAH ko na Janwaro
ka Gosht pohanchta hai aur na
inka Khoon, ise sirf tumhara
Taqwa pohanchta hai¤
(Al-Haj, V# 37)

hadees: Bra Bin Aazib Raziallahu
Anhu se rivayat hai k Rasulullah
Sallallahu Alaihi Wasallam se
poocha gaya, kis jaanwar Ki
Qurbani se bachna chaehai? Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam ne
fermaya, 4 Qism ke jaawaro se
bachna chaehai, Langra jiska
langrapan zahir ho, Bhainga jiska
bhaingapan zahir ho, Beemar jiski
beemari wazih ho, aur Kamzor
jiski hadio main gooda na ho.
(Musnad Ahmed, 301/4)

hadees: Huzaifa Raziallahu Anhu
se rivayat hai k Rasulullah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne
humain hukm dia ke hum
(Qurbani ka Jaanwar) kharidtey
waqt iski Aankhain aur Kaan achi
terha daikh lain.
(Ibn Khuzaima, H# 2914, 2915
Mustadrik Hakim, H# 467/1,
220/4)

Qurbani Key Masael:
Zibah kertey waqt Jaanwar ko
Qibla Rukh ker lena Mustahib hai.
(Ibn Khuzema)

Qurbani kertey waqt ki Dua:
"Bismillahi Wallahu Akber".
(Sahih Bukhari o Muslim)
Khud Zibah kerna Afzal hai, lekin
kisi doosrey se Zibah kerwaney
main bhi koi herj nahi.
(Sahih Bukhari)

Masla 1:
Musalman Aurat bhi Qurbani ka
Janwar Zibah ker sakti hai.
(Sahih Bukhari)

Masla 2:
Zibah kerney waley Qasaab ko
Qurbani ke Jaanwar main se koi
cheez batorey Mazduri dena Jaez
nahi.
(Bukhari o Muslim)

Al Quran: Abi Qatada Raziallahu
Anhu se rivayat hai k Rasulullah
Sallallahu Alaihi Wasallam se
yaum-e-Arfa (9 Zil Haj) ke rozey
ke barey main poocha gaya to
fermaya, is din ka roza guzishta
saal aur aaenda saal ke gunnaho
ka kufara hai.
(Sahih Muslim, Kitabul Siyaam,
H#367 )

hadees: Ek aur rivayat hai ke,
Rasulullah Sallallahu Alaihi
Wasallam 9 Zil Haj, yaum-e-
Aashura, aur her Mah main se 3
din roza rakhtey they.
(Abu Dawood, Jild 2, H#
300,301/
Nisae, H# 2419, 2420)

hadees: Ume Salma Raziallahu
Anha se rivayat hai ke Rasulullah
sallalahu Alaihi Wasallam ne
fermaya, jab tum Zil-Haj ka
chaand dekho aur tum main se koi
shaks qurbani ka iradah karey to
isey baal aur nakhun tarashney se
ruk jana chaeye.
(Sahih Muslim, H# 1977)

hadees: Abdullah bin Umar
Raziallahu Anhu se rivayat hai k,
ek shaks ne sawaal kia! Ya
Rasulullah Sallallahu Alaihi
Wasallam ager merey paas doodh
dene waley jaawar ke ilawa aur
koi jaawar na ho to kia main iski
Qurbani ker sakta hoon? Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam ne
fermaya, nahi lekin to apney
Nakhun aur Moocho ke baal aur
Zere Naaf ke baal Eid ki namaaz
ke baad kaat, ALLAH ke haan
tujhey Qurbani ka sawaab
mileyga.
(Nisae, Jild 2, H#195,
Dawood, Jild 3, H#50)

hadees: Jabeer Bin Muut'am
Raziallahu Anhu se rivayat hai k
Rasulullah Sallallahu Alaihi
Wasallam ne fermaya Tashreeq
ke tamaam din (yani 11, 12, 13 Zil
Haj) Qurbani ke Din hain.
(Musnad Ahmed, Jild 4, H#
6797/
Sahih Ibn-e-Habaan, H# 3843/
Sanan Dar Qitni, H# 4671)

hadees: Ayesha Raziallahu Anha
se rivayat hai k Rasulullah
Sallallahu Alaihi Wasallam, "Eid ul
Fitr" aur "Eid ul Azha" ki namaz
main Ruku ki takbeerat ke ilawa
12 takbeerat kaha kertey they.
(Sahih Abu Dawood, H# 1043/
Sahih Ibn Maja, H# 1058)

hadees: Umro Bin Auf Raziallahu
Anhu se rivayat hai k Rasulullah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne,
Eidain main pehli Rak'at main Qirat
se pehley 7 aur dosri Rak'at main
Qirat se pehley 5 takbiraat kahin.
(Termizi, Jild #1, page 166/
Ibn Maja, H# 1057)
For more Reference:
(Termizi, H #442/
Abu Dawood, H# 1405:1406)

No comments:

Post a Comment