Bismillahirrahmanirraum-e-Hadith: Allah ka bando par haq aur bando ka Allah par Haq
-------------
Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu se rivayaty hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ya Muadh , Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam , Aapne farmaya ki tumhe malum hai ? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ALLAH ka bandon par ye Haq hai ki bande khas usi (ALLAH) ki Ibadat kare aur kisi ko uske saath sharik na karey,
Phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam thodi der chalte rahe aur uske baad farmaya Ya Muadh, Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam , Aapne farmaya ki tumhe malum hai ? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bandon ka ALLAH par haq hai ki wo unhe (aone bando ko) Azab na karey.
{Sahih Bukhari, Vol 7, 5967
Allah ka bando par haq
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment