FIRQA E NAAJIYA KA MANHAJ KI CHAND BUNIYAADEY PART 2


Bismillahirrahmanirraheem

Yaad rakhey k firqa e najiya ka manhaj chand mazboot aur mustahkam bunyaado par qayam hai:

1. Firqa e najiya k mahaj ki pehli (1st) mustahkam bunyaad ye hai k wo kitabullah aur sunnat e sahihya par iktafa karte hai kyunki Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad hai: Mene tum mai do cheeze choodi hai jab tak tum un dono ko mazboot thamey rahoge hargiz gumrah na hoge, ek Allah ki kitab aur dusre meri sunnat. (Mustadrak E Hakim Wa Muatta Imam Malik)

jaha tak ijma ka talluq hai to wahi ijma motabar hai jo kitab wa sunnat dono ya unse kisi ek par mabni ho, aur jaha tak aqal wa fitrat ka maamla hai to wo agar kitab wa sunnat k muwafiq hai to qabil e qubool hai warna unki ye hesiyat nhi hai k wo sharai aqaid ya ahkaam k liye masdar ban sake.

Irshad e bari ta'ala hai: Ae emaan walo! farmabardaari karo Allah ta'ala ki aur frmabardaari karo Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki aur tum mai se ikhtiyar walo ki, phir agar kisi cheez mai ikhtilaaf karo to use lootao Allah ta'ala ki taraf aur Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf, agar tumhe Allah ta'ala par aur qayamat k din par emaan hai, ye bahut behtareen hai aur ba etabaar e anjaam k bahut accha hai. (Surah Nisa ayat no. 59)

Mazkoora aayaat mai ATIULLAH kehne k baad ATIUR RASOOL farmaya kyunkki ye dono ita'at e mustaqil aur bila kisi shart k wajib hai aur OOLIL AMAR ki ita'at ka hukm dete hue ATIU OOLIL AMAR nhi farmaya kyunki wo ita'at E mustaqil nhi hai balke Allah aur Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ita'at k sath mashroot hai, aese hi TANAZA ki soorat mai Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf lootne ka hukm diya, Allah ki taraf lootne ka matlab Allahi ki kitab Quran e majeed ki taraf lootna hai aur Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki tafar lootne ka matlab Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Hadees aur aap ki sunnat ki taraf lootna hai, ikhtalaaf kal karne aur TANAZA ko khatam karne ka ye ek behtareen usool diya gaya hai, Kitab Allah aur Sunnat e Rasool Allah yahi deen k do usool masdar hai.

2. Firqa e najiya k manhaj ki doosri (2nd) mustahkam bunyaad ye hai k wo kitab Allah aur Sunnat e sahihya ko aqal wa raaye aur qayas par muqaddam karte hai

Irshad e bari ta'ala hai: Ae emaan walo! Alla aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se aagey na badho, aur Allah se darte raha karo, yaqeenan Allah ta'ala sun'ne wala aur jaan'ne wala hai. (Surah Hujraat ayat no. 1)

Allah aur Rasool se aage badhne ye bhi hai k kisi deeni maamle mai Allah wa Rasool ka hukm dekhne se pehle hi khud koi fesla kar liya jeye, ya unka fesla aa jane k baad apni aqal, raaye ya soojh boojh ko tarjeeh di jaye, dar'asal mazkoora bala ayaat mai eman walo ko is baat ka hukm diya gaya hai jo farishto ki sifat hai.

farishto k baare mai irshad e baari ta'ala hai: Wo kisi baat mai Allah se aage nhi badhte balke wo Allah k hukm ki tameel mai lage rehte hai. (Surah Anbiya ayat no. 27)

farishto ki baat Allah ki baat k taabey hai aur farishto ka amal Allah k hukm k taabey hai, eman walo ko bhi Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath isi qism ka bartao karne ka hukm diya gaya hai, har emaan wale k liye zaroori hai k sharai maamle mai koi baat boe to Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki laayi hui shariyat ko pele dekhe phir uska taabey ho kar boole, zubaan se wahi baat kahe jo shariyat kehti hai, aaza se wahi amal kare jiski shariyat ijazat deti hai, Sahaba wa tabayi aur salaf saliheen ka yahi tareeqa tha, wo deen ki koi baat jaan'na chahte they to uske liye Qalallah aur Qala Rasool mai nazar karte they, yahi asal sunnat hai aur yahi tareeqa sunnat hai.

3. Firqa e najiya k manhaj ki teesri (3rd) mustahkam bunyaad ye hai k wo Kitabullah aur Sunnat e sahihya ki kisi baat ko kabhi radd nahi karte khawah wo khabar wahid hi kyu na ho aur na usmai tehreef karte aur na hi uski beja taweel karte balke sar tasleem kham kar dete aur ita'at wa farmabardaari k liye sar jhuka deta hai

Irshad e baari ta'ala hai: Aur kisi momin mard wa aurat ko Allah aur uske Rasool k fesle k baad apne kisi amar ka koi ikhtiyaar baaki nhi rehta, (yaad rakkho) Allah ta'ala aur uske Rasool ki jo bhi nafarmaani karega wo sareeh gumraahi mai padega. (Surah Ahzaab ayat no. 36)

Irshad e baari ta'ala hai: Jo kuch Rasool tumhe de wo le lo aur jis se tumhe rook de ruk jao. (Surah Hashr ayat no. 7)

Chunanche Sahaba Wa Tabayi aur salaf saliheen ka ye muttafiq alaih usool tha k kisi ki raaye wa qayas, wa zid wa zooq, hikmat wa siyasat, fikr wa falsafa, haqayaat wa manamaat aur makolaat k zariye quran e majeed se ma'araza nhi kiya ja sakta.

Yahi Ahle Sunnat ka tareeqa hai k Quran majeed aur Ahadees e Sahihya se jo kuch saabit ho jaye use fooran qabool karte hai, ause kisi haalat mai radd nahi karte, uske bar khilaaf Ahle Bida'at ka tareeka ye hai k wo pehle ek raaye qayam karte hai phir kitab wa sunnat mai dekhte hai agar ayaat ya hadees unke muwafiq hai to use qubool karte hai aur agar mukhalif hai to tehreef ya taweel ya mukhtalif shubhaat paida kar k us se picha chudaane ki koshish karte hai.

4. Firqa e najiya k manhaj ki chooti (4th) mustahkam bunyaad ye hai k wo kitab Allah aur Sunnat e Sahihya k baad Sahaba e Kiraam RA k aqwall wa fatawa ko talaash karte aur ma baad k loogo par unko muqaddam rakhte hai kyunki yahi Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wasiyat hai, Aap ka irshaad hai: Tum mai se jo mere baad zinda rahega wo bahut sara ikhtilaaf dekhega, lihaza tum meri sunnat aur hidayat yaafta khulafa e rashideen ki sunnat ko laazim pakado, use mazbooti se haath thaam lo, use daanto se mazboot jakad lo. (Musnad Ahmad, Abud Dawood, Tirmizi)

Abdullah bin mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone kaha: Tum se jo kisi ka uswa apnana chahte ho wo Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sahaba ka uswa apnaye kyunki wo uski ummat mai sab se zayada naik dil they, sabse jayada gehra ilm rakhete they, sabse kam takalluf wale they, sab se zayada durust raah par they, sabse behtar haal wale they, wo wo loog they jin ko Allah ta'ala ne apne Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki soohbat aur rifaqat aur unke deen ki aqamat k liye muntakhab kiya tha, unki fazilat ko pehchano aur unke naksh e kadam ki pairwi karo kynki wo siraat e mustaqeem k raahi they. (Jamiya Bayanul ilm wa fazla)

5. Firqa e najiya k manhaj ki paanchvi (5th) mustahkam bunyaad ye hai k wo aqeedah k aese masail aur gaini umoor k piche nahi padte jo insaani aqal ki rasaayi se bahar hai balke tasleem wa raza aur emaan wa yaqeen ki roosh par qayam rehte hai

Irshad e baari ta'ala hai: Us baat k piche mat pado jiska tumhe ilm nahi. (Surha Isra ayat no. 36)

To Be continued......

No comments:

Post a Comment