Bismillahirrehmaanirraheem
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu
NAMAAZ KI SHARTO KA BAYAAN
1-Hz Ali bin Talib (R.A) se rivaayat hai ki Rasoolullah (S.A.W) ne farmaaya:
"Namaaz ke dauraan tum me se kisi ki hawa kharij ho jaye to wah waapas jaye Aur (naya) wuzu kare Aur Namaaz dobaara padhe "
(Ise Ahmad,Abu Daood,Tirmizee,Nasai Aur IBne Maja ne rivaayat kiya hai Aur IBne Hibban ne sahi kaha hai
2-Hz Ayesha (R.A) Nabi kareem se rivaayat karti hai ki Nabi (S.A.W) ne farmaaya:
"jise hayz aata hai (yaani wah aurat jo baaliga ho) Allah taala uski Namaaz odhni ke bagair qubool nahi karta"
(ise Nasai ke alaava pancho ne rivaayat kiya hai Aur ibne Khuzaima ne sahi kaha hai)
FAYDA
"Yah Hadees sabit karti hai ki Namaaz ke waqt balig Aur nojawaan aurat ka saara jism chipa hona chahiye,yaha tak ki sir ke baal bhi chipe hona chahiye
3-Hz Jabir (R.A) rivaayat karte hai ki Nabi kareem (S.A.W) ne mujhe farmaaya:
jab kapda bada Aur faraaq ho to(Namaaz me)kapda khoob(jism par)lapet lo"
Aur Muslim ki rivaayat me hai ki kapda kushaada ho to kapda ke dono kinaaro ko kandho par dono taraf daal lo Aur agar kapda tang Aur chota ho to use tayband ki soorat me bandh lo
(Bukhari.Muslim)
Aur Bukhari wah Muslim me Hz Abu Huraira(R.A)se rivaayat hai ki tum me se koi ek kapde me Namaaz na padhe jab tak ki us kapde ka koi hissa uske kandho par na ho
FAYDA
Is Hadees se maloom hota hai ki Namaazi ke kandhe bhi Namaaz me nange nahi hone chahiye
No comments:
Post a Comment