AS SALAM O ALLAIKUM WR WB
WUDHU KE MASAIL KE BAAD AB GUSL KE SAATH PAAKI KE MUTALLIQ KUCH AUR CHIZON KO QURAN AUR SAHIH HADITH KI ROSHNI ME BAYAN KIYA JA RAHA HAI:
1-HAIZ KE MASAIL
1.1 HAIZ KA MATLAB: AISA KHOON JO AURAT KE RAHAM(BACCHE DANI) SE BACCHA KI PAIDAISH AUR KISI BIMARI KE ELAWA BAALIGH HONE KE MAKHSOOS DINO ME NIKLE (LISANUL ARAB)
1.2 RANG(COLOR):
ULAMA KA IS BAAT PAR ITTEFAQ HAI KI IS KHOOB KA RANG SIYAAH(KAALA), SURK(RED), ZARD(YELLOW) AUR KHAKI (MITTI KE RANG KA)(YANI SAFED AUR KAALA) KE DARMIYAAN HOTA HAI (FATH-UL-QADIR MA HAASHIYA-TUN-INAYA)
1.3 WAQT:
HAIZ KE LIYE KAM SE KAM YA ZYADA SE ZYADA WAQT MUQARRAR NAHI,(FATAWAL MAR-ATIL MUSLIMA)
1.4 HAIZA AURAT KE AHKAAM:
JIS AURAT KE AADAT(PERIOD) KE KUCH DIN MUKARRAR HON WAH UNHI KE MUTABIK AMAL KAREGI (MUSLIM)
AUR JIS KE DIN MUQARRAR NAHI WO KARAIN KE TARAF RUJU KAREGI (ABU DAWOOD)
YANI KHOON KO PAHCHANE GI KI HAIZ KA HAI KI NAHI
HAIZ KI HAALAT ME AURAT KE LIYE NAMAZ MAAF HAI (BUKHARI)
USKE LIYE ROZA RAKHNA MANA HAI (BUKHARI)
LEKIN BAAD ME KAJA ROZE POORA KAREGI JABKI KAZA NAMAZ PADHNE KI ZAROORAT NAHI (ABU DAWOOD)
AISI AURAT KE SAAT HUMBISTARI(SEX) KARNA MANA HAI(HAIZ KI HAALAT ME) (TIRMIZI)
USKA BOSA(CHOOMNA) WA KINAAR JAYEZ HAI (MUSLIM)
AGAR KISI NE HAIZ KI HAALAT ME BIWI SE HUMBISTARI KARLI TO US PAR EK DINAAR YA AADHA(HALF) DINAR KAFFARA ADA KARNA WAJIB HAI (ABU DAWOOD)
1.5 MUSTAHAZA AURAT KE AHKAAM:
MATLAB: JAB HAIZ KE ELAWA KOI AUR SA KHOON NAZAR AAYE TO ISTIHAZA(BIMARI) KA KHOON HOGA (BUKHARI)
AISI AURAT KE LIYE HAR NAMAZ KE LIYE WUDU WAAJIB HAI (TIRMIZI)
BEHTAR YE HAI KI DO NAMAZON KO IS JAMA KARE KI PAHLE KO MUAKHKAR AUR DUSRI KO MUKADDAM KARE AUR PHIR DONO KE LIYE EK GUSL KARE YANI JUHAR WA ASR KE LIYE EK GUSL, MAGHRIB WA ISHA KE LIYE EK GUSL AUR FAZR KE LIYE EK GUSL (ABU DAWOOD)
2-NIFAAS KE MASAIL:
2.1 MATLAB:
AISA KHOON JO (PAIDAISH KE WAQT) BACCHE KE SAATH YA BAAD ME (AURAT KI SHARMGAAH YANI LING) SE NIKLE(ANEESUL FUQAHA)
2.2 WAQT:
NIFAAS KI ZYADA SE ZYADA MUDDAT 40 DIN HAI (ABU DAWOOD)
NIFAAS WAALI AURAT HAIZA KI TARAH HAI (AL-MUGNI)
ISLIYE AISI AURAT NA NAMAZ PADEGI, NA ROZA RAKHEGI AUR NAHI USSE HUMBISTARI JAYEZ HAI , HAAN ROZE KI KAZA LAAZIM HAI (AL-MUGNI)
3- KAZAYE HAAJAT(TOILET) KE MASAIL:
JISE PESAAB PAKHANE KI HAAJAT HO WAH ZAMEEN KE KAREEB HONE SE PAHLE KAPDA NA UTHAYE (ABU DAWOOD)
WAH AABADI SE DUR CHALA JAAYE YA BAITUL-KHLA ME DAKHIL HO JAYE (BUKHARI)
KAZAY HAAJAT KE DAURAAN KISI SE BAAT NA KARE (AHMAD,MUSLIM)
AUR GHAATON( RIVER BANK) ME KAZAY HAAJAT SE BACHE (IRWA UL GHALEEL)
KHULI JAGAH ME KAZAY HAAJAT KE WAQT QIBLE KI TARAF MUH YA PEETH KARNA MANA HAI (BUKHARI)
PAANI(WATER) SE ISTINJA(DHONA)(PESHAAB PAKHANA KI JAGAH KO SAAF KARNA) AFZAL(BEHTAR) HAI (IBNE MAJAH)
AGAR KOI PATTHAR YA US JAISI KOI PAAK CHEEZ ISTEMAL KARE TO KAM SE KAM 3 ADAD(PIECES) KA ISTEMAL ZAROORI HAI (MUSLIM)
KAZAY HAAJAT SE PAHLE YE DUA PADHNI CHAHIYE " ALLAHUMMA INNI AUZUBIKA MINAL KHABSI WAL KHABAISH" AUR NIKALTE WAQT YE DUA PADHNI CHAHIYE "GUFRANAKA" (ABU DAWOOD)
BAITUL KHLA ME DAAKHIL HOTE WAQT BAANYA PAIR(FOOT) PAHLE RAKHNA AUR NIKALTE WAQT DAANYA PAIR PAHLE NIKAALNA MUNASIB HAI (ABU DAWOOD)
PESAAB KARTE WAQT CHHINTON SE BACHNA ZAROORI HAI (MUSLIM, IBNE MAJAH)
KHADE HOKAR PESHAAB KARNA JAYEZ HAI (BUKHARI)
DAANY(RIGHT) HAATH SE ISTINJA KARNA MANA HAI (BUKHARI)
4-GHUSL-E- JANABAT KA TAREEQA:
PAHLE DONO HAATH DO BAAR PAANI SE DHONYE PHIR DAHNE HAATH SE BAANY HAATH PAR PAANI GIRAKAR SHARMGAAH DHOYEN, USKE BAAD HAATH ZAMEEN PAR RAGDE (YA SOAP SE) DHOYEN PHIR KULLI KARKE NAAK ME PAANI DAALKAR MUH AUR DONO HAATH DHONYEN, USKE BAAD SIR PAR PAANI DAALKAR TAMAM BADAN PAR PAHUNCHANYE PHIR US JAGAH SE JARA HAT KAR DONO PAIR(LEGS) DHONYE (BUKHARI,MUSLIM)
5-JIN CHEEZON KE LIYE GHUSL MUSTAHAB HAI:
JUMA KI NAMAZ (BUKHARI)
DO EID KI NAMAZEN (MOATTA),
MAYYIT KO GHUSL DENE KE BAAD (IRWA UL GHALEEL),
IHRAAM BAANDHNE SE PAHLE (TIRMIZI),
MAKKA ME DAKHIL HONE SE PAHLE (MUSLIM),
MUSTAHAZA (HAIZ KE ELAWAH BIMARI KA KHOOB JIS AURAT KO AAYE) AURAT KE LIYE (BUKHARI,MUSLIM),
JO SHAKS BEHOSH HO JAA
No comments:
Post a Comment