Bismillahirrahmanirraheem
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Eemaan ki halat mai sawab ki niyat se jo kisi musalman k janaze k sath jata, uske sath rehta, uska janaza padhta aur usko dafan kar k farig hota hai to uske liye 2 Keeraat sawab hai har Keeraat uhad pahaad k barabar aur jo (sirf) janaza padh kar wapas a jata hai to uske liye ek Keeraat hai". (Bukhari Kitabul Eemaan Hadees No. 47, Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 945)
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis musalman k janaze mai aese 40 Aadmi shamil ho jo Allah k sath shirk na karte ho to wo Allah Ta'ala us (Mayyat k Haq) mai unki sifarish kabool karta hai". (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 948)[/color]
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "4 Musalman jis musalman ki tareef kare aur acchi shahadat de, allah usko Jannat mai dakhil karega, humne arz kiya "aur 3" Aap ne farmaya: "3 bhi" humne arz kiya "aur 2" Aap ne farmaya: "2 bhi" phir humne ek k bare mai nahi pucha". (Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees No. 1348)
Yaha un musalmano ki gawahi muraad hai jiska Aqida wa Amal aur Akhlaaq wa Kirdaar Kitab wa Sunnat k mutabik ho. (Wallahu Aalam)
Namaz e janaza padhne k liye mayyat ki charpaie is tarha rakhey k mayyat ka sir Shumal ki simt aur pao Junoob ki janib ho phir ba wuzoo ho kar safae bandhey.
Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu ne Ek mard ka janaza padhaya to wo (us k) sir k samne khade ho gaye phir ek Aurat ka janaza laya gaya to wo uske darmiyan khade ho gaye aur farmaya k Rasullullah SAW aesa hi karte they. (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees No. 1034, Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees No. 3194 Imam Tirmizi ne ise Hasan kaha)
Phir Dil mai niyat karke dono hath kandho ya kano tak uthaye aur pehle takbeer keh kar Surah Fatiha Padhey.
Janaze Mai Surah Fatiha:
Abu Umama Bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k namaz e janaza mai Sunnat tarika ye hai k pehle takbeer kahi jaye, phir fatiha padhi jaye, phir Nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam par Darood aur Mayyat k liye Dua (ki jaye) uske baad salaam (phera jaye). (Musannif Abdur Razzaq Hadees No. 6428, 489/3, 490, Imam Hafiz Ibne Hajar ne ise sahi kaha)
Talha Bin Abdullah Bin Auoof Razi Allahu Anhu kehte hia k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k piche namaz e janaza padhi to aap ne surah fatiha padhi, aur farmaya: mene ye isliye kiya hai takai tum jaan lo k ye Sunnat hai. (Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees No. 1335)
Is se Zehri Kiraat bhi sabit hui, Tajjub hai jo loog uthte baithte "Fatiha" k naam leta hai wo Namaz e janaza mai use padhte hi nahi.
Talha Bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k piche namaz e janaza padha unhone Surah fatiha aur ek aur surah padhi aur buland aawaaz se kiraat ki hatta k humne suna. jab farig hue to farmaya k ye "Sunnat aur Haq hai". (Nasai Kitabul Jana'iz Hadees No. 1987, 74/4 - 75 Ibne Tarkamani ne sahi kaha)
Namaz E Janaza ka sar'an padhne sunnat hai:
Abu Umama Bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Namaz janaza mai sunnat taika ye hai k Imam pehli takbeer k baad surah fatiha sar'an padhey phir teen takbiraat kahe aur akhri takbeer k sath salaam phera jaye. (Nasai Kitabul Jana'iz Hadees No. 75/4 : 1989 ise Imam Hafiz Ibne Hajar ne sahi kaha)
Buland Awaaz se bhi janaza padhaya ja sakta hai, chunanche Auoof Bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz janaza mai ek Dua padhi jo mene yaad karli mene tamanna ki kash k ye mera janaza hota. (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 963)
Janaze ki Takbiraat:
Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k beshak Nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Najashi k janaze mai 4 takbiraat kahi. (Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees No. 1333, Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 951)
Zaid Bin Arkam Razi Allahu Anhu namaz e janaza par 4 takbiraat kehte, ek janaze par unhone 5 takbiraat kahi aur farmaya k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is tarha bhi karte they. (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees NO. 957)
Maloom hua k Takbeer oula k baad surah fatiha ka padhna sunnat ha
No comments:
Post a Comment