[3:21pm, 02/12/2014] Faisal koit: Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Jundub Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya pichley zamaney mein ek shaksh zakhmi ho gaya tha aur us sey usko badi takleef ho rahi thi aakhir usney churi (knife) se apna haat kaat dala aur khoon bahney laga jis ki wajah se wo mar gaya Allah taala ne farmaya mere bandey ne marney mein jaldi ki isliye mainey bhi jannat ko is par haram kar diya.
{Sahih Bukhari, Vol 4, 3463}
Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6105}
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh khud ko apna gala ghont kar maar deta hai, to wo jahannam mein bhi apna gala ghont-ta rahega aur jo kisi teer ya barchi ( yani dhaardar cheez) se apney aapko maar daaley to wo jahannam mein bhi apney aapko isi tarah maarta rahega.
{Sahih Bukhari, Vol 2, 1365}
[3:24pm, 02/12/2014] Faisal koit: Hadith: Banda logo ki nazar mein Ahal-e-jahannam ke kaam karta rahta hai jabki wo jannati hota hai
Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Hazrat Sahal bin saad Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko dekha jo musrekeen se jung mein masruf tha ye shaksh muslamano ke sahib-e-maal aur daulat waley logo mein se tha Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar koi chahta hai ki kisi jahannami ko dekhey to wo is shaksh ko dekhey, is par ek sahabi us shaksh ke peechey lag gaye wo shaksh barabar ladta raha aur aakhir zakhmi ho gaya phir usney chaha ki jaldi mar jaye aur apney talwar ki dhaar ko apney seeney ke darmiyaan rakh kar is par apney aap ko daal diya aur talwar uskey shaano ko cheerti huyee nikal gayee (is tarah wo khudkushi karke mar gaya)
Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (kabhi kabhi) banda logo ki nazar mein Ahal-e-jannat ke kaam karta rahta hai jabki wo jahannami mein se hota hai ek dusra banda logo ki nazar mein Ahal-e-jahannam ke kaam karta rahta hai jabki wo jannati hota hai aur Aamaal ka daromadar to khatmey par moquf (depend) hai
{Sahih bukhari, Vol 7, 6493}maktaba al furqan guj 9998561553
No comments:
Post a Comment