IKAMAT KE BAAD SIWAYE FARZ NAMAZ KE ILAWA KOI NAMAZ NAHI

Bismillahirrahmanirraheem

hazrat ibn e abbas rz. se marvi he ke ek martaba fajr ki namaz k liye ikamat hui to ek aadmi do rakate parhne ke liye khara ho gaya,nabi sallalaho alaihi wasallam ne use kapre se pakar kar ke khincha aur farmaya kya tum fajr ki char rakate parho ge?

(musnad ahmad ,jild 2, H#2130)

  Malum hua ke jo farz namaz ke ikamat ho jaye to siwaye us waqt ki farz namaz ke ilawa koi namaz nahi, isliye hame chahiye k dusri aur koi bhi sunnat ho ya nafil use chhor kar jamat me shamil ho jana chahiye

Jayada ye chiz payi jati hai ke subah ki farz namaz ki jamat hoti hai aur dusre log apni sunnate padhte rahte hai isliye khas jawjju de aur apni galti ko sudhar ne ki koshish kare

No comments:

Post a Comment