QAYAMAT K ROOZ JAZA WA SAZA DENE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

QAYAMAT K ROOZ JAZA WA SAZA DENE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA

✏"Allah ta'ala kafiro k muamaley mein Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam ki beewiyo ko bataur misaal paish karta hai wo hamare 2 saaleh bando ki zojiyat mein thi magar unhone apne un shoharo se khayanat ki (yaani kafiro se saaz baaz ki) aur wo dono (yaani Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam) Allah ta'ala k muqabaley mein un (beewiyo) k kuch bhi kaam na aa sakey dono se keh diya gaya k jao aag mein jaane walo k saath tum bhi (aag mein) chali jao".

(Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 10)

✏Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jab (quran majeed ki) ye aayat nazil hui "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! apne rishtedaaro ko (qayamat se) darao to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar farmaya Ae quraish k loogo! ya aesa hi koi jumla kaha, apni jaaney bachao (qayamat k din) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae abd e Munaaf k baito! (qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae Abbas bin Abdul Muttalib mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam na aa sakunga Ae Safeeya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k phoopi! mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga aur ae Fatima binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! (dunya mein) mere maal se jo chaho maanglo (lekin qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga".

(Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

No comments:

Post a Comment