KHAWATEEN NAMAZ TARAWEH MASJID ME JA KAR ADA KAR SAKTI HAI

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat abu zar (r.a) se marwi hai unhone kaha hum rasool allah sallallahu alaiwasalm ke sath roze rakhe nabi akram (saw) ne humein taraweh ki namaz nahi padhai yaha tak ke ramzan ke sath din baqi rahe gaye 23wiy raat ki ek tehai guzar jane per nabi akram (s.a) ne humein namaz taraweh padhai

phir rasool allah (saw) ne 24wiy shab ko namaz taraweh nahi padhai 25wiy shab adhi raat guzar jane per namaz taraweh padhai hum ne kaha ya rasool allah (saw) kya hi acha ho agar aap ramzan ki baqi raton mei bhi humein nafil namaz padhaye nabi akram( saw) ne farmaya jisne imam ke farigh hone tak imam ke sath qiyam kiya (yani namaz taraweh ba jamat ada ki) iske liye sari raat ke qiyam ka sawab likha jayega phir rasool akram(saw) ne hume namaz taraweh nahi padhai hata ke teen roz baqi rahe gaye chunache

aap (saw) ne humein teesri martaba 27wiy shab taraweh padhai jisme apne ahel-wo-ayal ko bhi shamil kiya yaha tak ke humein falah ke khatam hone ka dar huwa- mei ne abu zar (r.a)se pucha falah kya hai? Hazrat abu zar (r.a) ne jawab diya ;sehri;

((TIRMIZI RAQMUL HADEES 646))

Ahel-wa-ayal me ghar ki aurte bhi shamil hai aur bache bhi

No comments:

Post a Comment