AIK ORAT SY ZINA KIA AUR PHIR IS SY...............
2034Aik orat sy zina kia aur phir is sy...............
Posted on April 12, 2013 | Filed under Nikkah
Question :
Aik mard ny aik kanwari orat sy zina kia aur ab woh is sy shadi kerna chahta hai to kia yh jaiz hai?
Answer :
Agar amar waqai issi tarhan hai jis tarhan biyan kia gaya hai to sab sy pehly to in mai sy her aik per yh wajib hai k Allah Ta'ala k hazoor touba karen aur is gunnah ko tark ker den, fahashi ka jo irtekab kia is per nadamat ka izhar karen, aindah aisa na kerny ka azam karen aur amaal saleha kasrat sy baja layen, is sy Allah TA'ala inki touba qabool farma ker buraiyon ko naikiyon sy badal deyga. Irshad bari ta'ala hai:
"Aur woh log jo Allah k sath kisi aur ma'abod ko nahi pukarty aur jis jaan ko maar dalna Allah ny haram kia hai, is ko qatal nahi kerty magar jaiz tareeq (shariyat k hukam) sy aur badkari nahi kerty aur jo yh kaam karyga sakht gunaah mai mubtala hoga, qayamat k din isko dogunaah azaab hoga aur zillet-o-khuwari sy is mai hamesha rahyga magar jis ny touba ki aur emaan laya aur achy kaam kiye to aisy logo k gunahu ko Allah Ta'ala niakiyon mai badal deyga aur Allah to bakhshany wala maherban hai aur jo touba kerta hai aur naik amal kerta hai to beshak woh Allah ki tarf rajo kerta hai."
Al furqan 25:68-71.
yh mard agar is orat sy shadi kerna chahta hai to zarori hai k woh nikkah sy pehly aik haiz k sath estabraye rahem ker ley, agar maloom hu k hamal hai to waza hamal sy pehly nikkah jaiz nahi hoga Qk hadis mai hai k NAbi akrem (S.A.W) ny farmaya hai: jo shakhs Allah aur qayamat k din per emaan rakhta hai woh dosry ki kheti ko pani na pilaye.........yani hamla qaidi khawateen sy suhbet na kery................(Fatwa Cammettie)
masnad ahmed:4/108' wa sanan abi daud' hadis:2158
No comments:
Post a Comment