ALLAH TA'ALA KHUBSORAT HAI, KHUBSORATI KO PASAND KERTA HAI

ALLAH TA'ALA KHUBSORAT HAI, KHUBSORATI KO PASAND KERTA
Question :
Meri aik saheli hai jo intehai pakbaaz, deen islam ki ta'aleemat per amal pera aur naiki k kamo sy mohabbat kerny wali hai magar woh aik khas adat k sath ma'arof hai k woh hamesha apni tamam saheliyon sy munfarid andaz mai nazar aana chahti hai, Maslan: woh hamesha dosri orton sy mukhtalif libaas pehanna chahti hai (tabaan ba pardah hai,) woh nahi chahti k koi aur es jaisa libaas zaib tan kery, hatta k agar issy maloom hujaye k falaan orat ny bhi is jaisa libaas khareda hai to woh issy utar dey gi aur dobara kabhi nahi pehnay gi. baeena woh apny bachu k libaas aur gharelu samaan mai bhi dosron sy mumtaz nazar ana chahti hai, woh yh nahi chahti k kisi insan sy koi naimat cheen jaye, chahey woh is ki cheez sy khubsorat hi Q na hu, algaraz woh sirf dosron sy mumtaz nazar ana chahti hai, kia yh hasad hai ya takabbur? jab k woh in donu buri sifaat ko napasand hi kerti hai.
Answer :
Hum nahi janty k es khaton k dil mai aisi kon c baat hai jo issy halat es halat mai rakhna chahti hai, agar is ka sabab hasad hai to hasad kerna haram hai lekin hasad ka mafhom yh hai k "mehsood (jis sy hasad kia jata hai) sy zawal-e-naimat ki tammna kerna aur issy nuqsaan pohanchany k liye koshaan rehna" lekin jaisa k app ny bataya woh aisa nahi kerti. aur agar is ki wajah takabbur aur apny osaaf mai dosron ki shirket ki napasandidgi hai to yh bhi haram hai lekin mazmom takabbur woh hai jis sy haq ki terdeed aur logo ki tehqer maqsood hu, jab k khubsorat aur achy libas sy mohabbat is zaman mai nahi aati. Allah Ta'ala khud jameel hai aur jamaal sy mohabbat kerta hai.
Agar is ka yh fail dosron sy mumtaz nazar aany aur kisi khaas adat mai shuhret hasil kerny k liye hai to dekhna hoga k is ka sabab kia hai? ain mumkin hai k is ka sabab kuch aisi ikhlaqi aqdar houn jo baaz logo k dilon mai jagzeen hujati hain aur in k koi mamno asbab nahi hoty. Wallah A'alam.
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment