ANDHEY K SAMNY HUNY MAI KOI HARJ NAHI
Question :
Kia orat nabeeena shakhs k samny chehrah nanga ker sakti hai? agar nahi to iski wajah kia hai?
Answer :
Sahi yh hai k orat nabeena shakhs k samny apna chehrah nanga ker sakti hai, beena logo k samny pardah kerny ka hukam is liye hai k fitna-o-fasaad janam na ley, andha shakhs samny ki koi cheez dekh sakta hai aur na hi woh orat k muhasan aur fitna khaiz aaza ko dekh pata hai. rahi woh hadis jissy Imam Tramzi Rehmat-ul-Allah ny ebn umm-e-maktoum k waqey k zaman mai sahi kaha hai aur jis mai yh ilfaz hain:
"Tum donu (Hazrat Umm-e-Salma aur Hazrat Memona R.A.) is sy perdah karo."
Is pr Hazrat Umm-e-Salma R.A. ny arz kia: Aye Allah k Rasool! kia woh nabeena nahi hain? woh humain dekh sakta hai na humain pehchanta hai. to Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:
"Kia tum donu bhi andhi hu, kia tum issy nahi dekh rahi?"
jamia at'tramzi' hadis: 1778' wa sanan abi daud' hadis: 4112.
Es hadis ko baaz oulama ny zaeef kaha hai. Agar issy sahi bhi tasleem ker lia jaye to is ka matlab hai k orat ka mard ko dekhna haram hai Qk orat ko bhi nigaah neechi rakhny ka hukam hai. shehwat khezi k khadsha k paish-e-nazar orat k liye bhi jaiz nahi hoga k ajnabi mard ki tarf dekhy, khuwah woh andha hi hu ya beena hatta k akhbarat-o-rasail aur filmo wagaira mai mardo ki khubsorat taswerain dekhna bhi orat k liye khatrey sy khali nahi hai. Wallah A'alam
Shaikh ibn Jibreen
No comments:
Post a Comment