MASJID MAI JATY WQT ORTON KA KHUSHBU LAGANA

MASJID MAI JATY WQT ORTON KA KHUSHBU LAGANA

Question :
Ramdan-ul-Mubarak mai masjid jaty wqt orton khushbu lagati hain. hum ny inhain aisa kerny sy roka magar koi faidah na huwa. barah-e-karam khawateen ko sharai hukam sy agaah farmain.
Answer :
Masjid jaty wqt aur masjid k ander orton k liye khushbu lagana najaiz hai Qk jab yh ortain apny gharon ko wapis lotain gi to dosron k liye fitny ka sabab ban sakti hain aur Nabi (S.A.W) sy sabit hai k App ny orton ko apny gharon sy nikal ker masjid mai jaty wqt khushbu lagany sy mana farmaya hai:

"Jis orat ny khushbo lagai hu woh hamary sath esha ki namaz mai shareek na hu."
sahi muslim' hadis: 444' wa sanan abi daud' hadis: 4175.
Masjid mai bhi khushbo estemal kerny ka yahi hukam hai Qk ortain phir bazaar mai sy guzar ker jati hain. masjid k elawah kahiin aur jany k liye bhi khushbo estemal kerna ka yahi hukam hai.
Shaikh ibn Baz

No comments:

Post a Comment