AZDAWAJI RAAZ AFSHA KERNA

AZDAWAJI RAAZ AFSHA KERNA

Question :
Baaz orton ki yh adat hai woh apny ghar ki ya shoharon k sath azdawaji zindagi ki baten apni qareebi ya dost khawateen ko bata daiti hain in mai sy baaz baten aisy gharelu raaz hoti hain k shoher nahi chahtey k in k bary mai kisi ko ilm hu to in mai orton k bary mai kia hukam hai jo ghar k raaz afsha ker daiti hain?
Answer :
Baaz orton jo apny ghar ya azdawaji zindagi ki baten apni qareebi ya dost khawateen ko bata daiti hain to yh haram kaam hai Qk kisi bhi orat k liye yh halal nahi hai k woh apny ghar k raaz ya shoher k sath makhfi ta'aluqat ko kisi k pass biyan kery, irshad bari ta'ala hai:

"Pus naik farmanberdar biviyon khawand ki adam majoodgi mai , Allah ki hifazat sy (maal-o-aabro ki) nighedasht rakhny waliyan hain."
AL Nissa 4:34.
Aur NAbi Akram (S.A.W) ny farmaya:

"qayamat k din Allah k haan logo mai sy sab sy bad tareen derja is shakhs ka hoga jo apni bivi sy milta hai aur woh is sy milti hai aur phir yh is k raaz afsha kerta hai." (shiekh ebn esimeen)
sahi muslim' hadis: 1437.

No comments:

Post a Comment