JAB ORAT BADKHUEE AUR APNY SHOHER KI NAFARMANI KERY

JAB ORAT BADKHUEE AUR APNY SHOHER KI NAFARMANI KERY

Question :
Jab bivi alkuhal aur isprite sy bany huway mukhtalif etriyat istemal ker k ghar sy nikley aur apni shadi shudah betiyon ki bhi aisy etriyat k sath ghar sy nikalney mai hosla afzai kery, halanky khawand issy kai baar mana bhi ker chuka hai balky is sy baaz rehny per halaf bhi lia hai, waz-o-nasihet, dant dapt aur zid-o-koub bhi ker chuka hai.
aisi orat agar shoher ki ejazat k bagair ghar sy bahir nikley, apni shadi shudah ya kanwari betiyon ki bhi shoher ya baap ki ejazat k bagair ghar sy bahir nikalny mai hosla afzai kery jab k ghar sy bahir nikalny ka maqsad mahez sair-o-seyahet ya gair zarori ashiya ki kharidari hu.
agar shoher k bister per aany aur iski khidmat kerny sy bhi inkar kery aur bohat kam apny shoher ki khidmat kery aur issy betiyon hi k sapurd ker dey to kia es orat k es tarz-e-amal ko nashoz (bad damagi, nafarmani aur sar kashi) qarar dia jayega?
Answer :
Agar waz-o-nasihet, dant dapt aur zid-o-koub k bawajood orat ka yh haal hai jo sawal mai mazkour hai to bilashubah aisi orat bad khu aur serkash hai QK is ny apny shoher ki etat chor ker bagawat-o-sarkashi ki ravish ko apna liya hai aur phr yh iski zarorat bhi puri nahi kerti aur is k haqoq bhi ada nahi kerti, lehaza mazkora sorat e haal mai aik munsif, mard k khandan sy aur aik munsif, orat k khandan sy bula lia jaye ta k woh is ghambeer sorat e haal ka jaiza len, is k asbab maloom karen aur donu mai sulaah ki koshish karen. agar donu mai sulaah aur itefaaq hujaye aur woh aik dosry k haqoq ada kerny lagey to Al Hamdulillah! aur agar yh sabit hujaye k waqai orat ka tarz e amal bura hai aur woh bad satour nafarmani aur haqoq ada na kery per miser hai to is elaqey ka qazi donu mai tafreeq kara dey aur woh maher wapis louta dey jo is ny lia hai. is k liye nafqa bhi nahi hoga. agar donu munsifo k samny yh baat sabit hujaye k shoher jhota aur yh is per ziadati kerta hai to donu issy samjhayen aur issy hukam den k woh hussan muashret ka muzahira kery aur apny in wajibat ko ada kery jo bivi k hawaley sy shoher per aeed hoty hain.
Fatwa Committee

No comments:

Post a Comment