DASTANY PEHANNY KA HUKAM

DASTANY PEHANNY KA HUKAM

Question :
1 Kia ghar sy bahir jaty wqt satar k paish nazar jurabain ya dastany pehanna jaiz hai ya bidat? naiz kia kisi ajnabi admi ka zeenat k bagair orat k hatho ko dekhna haram hai?
2 kia miaan bivi mai sy kisi aik ko yh haq hasil hai k woh kisi qabil qabool sharai uzar k bagair dosry ko arsa daraz tak is ka fitri haq pura kerny sy mana kery?
Answer :
1 orat k liye aisa libas pehanna wajib hai jo is k badan aur satar ko dhanmp saky, khas tour per gali bazaar jaty wqt orat ka ba perdah hona zarori hai. jurabain aur dastany pehanna bhi issi zaman mai ata hai. is sy maqsood yh hota hai k orat k jism ka koi aisa hissa nazar na aany paye jo k fitna-o-fasaad ka baees hu. bawqt zarorat hatho ko nanga rakhna jaiz hai bashart yh k woh zaiwrat ya mehandi wagaira sy muzeen-o-arasta na houn. wesy logo k hath to kisi emtiyaz k bagair aik dosry sy milty julty hi hoty hain.
2 is mai koi shak nahi k miaan bivi ka apas mai jinsi milap nafsani zaroriyat mai sy aik zarorat hai, phir mard-o-zan mai jinsi quwwet ki kami beshi k aitbar sy jinsi ragbat mai bhi ikhtalaf hu sakta hai. lekin aam tour per mard mai jinsi quwwet ziada hoti hai issi liye azdawaji amal k bar bar duhrany mai mard ko nisbatan ziadah ragbat hoti hai. bina baree akser ortain, apny khawand k kasret jama'a ki shikayat kerti hain jo in k liye nuqsan dah bana hota hai.
Lekin taweel arsa tak jinsi amal chor daina najaiz hai. yaqenan yh orat ka haq hai k is ki jinsi zarorat puri ki jaye aur orat ziadah sy zaidah 4 maah sabar ker sakti hai is liye miaan bivi ko aik dosry ki agbat ka lehaz kerna chaheye. agar jinsi khuwaish ka izhar orat ki tarf sy hu to mard ko chaheye k hasb-e-qudrat-o-taqat is sy muwafqat kary aur mushakkat ki sorat mai aitraz bhi ker sakta hai. issi tarha orat ko bhi adam zarer ki shart k sath hasbe adat-o-mamol khawand ki khuwish ka ehtram kerna chaheye.
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment