KIA ZAIR-E-TA'ALEEM LARKI DORAN EDDAT TA'ALEEM JARI RAKH SAKTI

KIA ZAIR-E-TA'ALEEM LARKI DORAN EDDAT TA'ALEEM JARI RAKH SAKTI
Question :
Zair-e-Ta'aleem larki ka khawand fout hugay, is bina per issy eddat guzarna hai. kia is k liye ta'aleem jari rakhna jaiz hai ya nahi?
Answer :
Jis orat ka khawand fout hugaya is per apny ghar mai eddat guzarna aur soug manana wajib hai jo k 4 maah 10 din hai. woh raat ko issi ghar mai soway. doran-e-muddat issy khubsorati ka baees bannay wali jumla ashiya sy ejtanab kerna chaheye, jaisa k khushbu lagana, surma lagana, khubsorat kaprey zaib tan kerna aur badan ko khubsorat banana wagaira, yani is k liye aisi tamama ashiya sy perhaiz kerna zarori hai jo issy hussan-o-jamaal ata karen.
Doran-e-muddat orat kisi zarorat k paish-e-nazar ghar sy bahir ja sakti hai, is bina per mazkora talba ka hasool ta'aleem aur fahem masail ki garz sy school jana jaiz hai. is k sath sath issy in tamam ashiya sy per haiz kerna chaheye k jin sy soug manany wali orat ko perhaiz kerna wajib hai, yani aisi tamam ashiya sy ejtanab zarori hai, jo mardo k liye baees kashish houn aur inhain nikkah ka paigam dainy per aamadah kerny wali houn.
Dar-ul-Iftaa

No comments:

Post a Comment