MERA KHAWAND BILKUL MERI PARWAH NAHI KERTA

MERA KHAWAND BILKUL MERI PARWAH NAHI KERTA

Question :
Mera khawand.............. Allah Ta'ala issy der guzar farmaye...........agarcha khashiyet Elahi ka hamil aur ikhlaq fazla sy mutasif hai magar meri bilkul koi perwah nahi kerta, hamesha tarsh roi aur sangdilii ka muzahira kerta hai, phir woh iska zimedar bhi mujhi ko thehrata hai lekin Allah janta hai k bahamdulliah mai is k jumla haqoq ki adaigi kerti hoon. hemasha iski rahat-o-etmenan ka saman fraham kerti houn aur is ko nagwar kerny waly her amal sy perhaiz kerti hoon, is k bawajood mai, jo salook woh mujh sy rawa rakhta hai, sabar kerty huway sab kuch bardasht kerti hoon. mai jab bhi kisi cheez k muta'aliq deryaft kerti hoon ya kisi masley k bary mai baat kerti hoon to gazab naak hu ker bharak uthta hai. is k ber aks apny sathiyo aur dosto ki sath khandah roi aur hashash bashash tabiyat k sath rehta hai, mai ny hemasha hi is ki tarf sy bad mamlagi aur dant dapt ka samna kerna kia hai. iska yh raviya kabhi kabhi to itna takleef dah aur almanak hota hai k mai yh sochny lagti hoon k Q na is ghar baar ko kher baad kerh dia jaye. Al Humdulillah! meri ta'aleem middle tak hai aur Allah Ta'ala k aeed kerdah faraiz ki adaigi mai koshaa rehti hoon. Fazilaat-us-shiekh! agar mai yh ghar chor doon. tan tanha apny bachu ki ta'aleem-o-terbiyat ka intezam karon aur zindagi k dukh sukh bardasht karon to kia mai gunaahgar houngi? ya issi halat mai is k pass rahon aur sab kuch nazar andaz kerty huway zindagi k baki ayaam pury karon?
Answer :
Es mai koi shak nahi k miaan bivi donu per hussan muashrat, ikhlaq fazla aur khanda roi ka tabadla wajib hai. Irshad Bari TA'ala hai:

"Aur in (biviyon) k sath hussan muashrat apnao."
Al nissa 4:19.
Dosri jagah farmaya:

"Aur orton ka haq (mardo per) wesa hi hai jaisa dastor k mutabiq (mardo ka haq) orton per hai, albatta mardo ko orton per (aik goona) fazilat hasil hai."
Al Bakra 2:228.
Issi tarhan NAbi (S.A.W) ka irshad hai:

"Naiki hussan khulq ka naam hai."
sahi muslim' hadis: 2553.
App (S.A.W) hi ka irshad hai:

"kisi bhi naiki ko haqeer na samjhu agarcha tum apny bhai ko khandah roi hi sy Q na milo."
sahi muslim' hadis: 2626
Mazeed farmaya:

"Emaan walo mai sy kamil tareen momin woh hai jo ikhlaq mai sab sy acha hu aur tum mai sy achay woh hain jo apni biviyon k liye achay hain."
jamia at'trmazi' hadis:1162' wa sanan abi daud' hadis: 4682' wa masnad ahmed: 2/473.
Naiz App (S.A.W) ny irshad farmaya:

"Tum mai sy behtreen woh shakhs hai jo apny ghar walon k liye behtreen hai aur mai apny gahr walon k liye tum sab sy behtreeb hoon."
Sunan abi majah' hadis:1977' wa jamia at'tramzi' hadis: 3895.
Elawah azee kai aik ahadis nabviya hain jo musalmano ko amomi tour per hussan-e-khalq, achi mulaqat aur hussan muashrat ki tergeeb dila rahi hain to mian bivi ayr azez-o-aqarib ko kis qadar ziada in amoor ka khayal rakhna hoga. app ny khawand k jo rostam aur aiza rasani k bawajod jameel ka muzahira kia jo qabil ta'areef hai. mai apko Allah TA'ala k derj zail farman k mutabiq mazeed sabar ka daman tham ker rakhny aur ghar na chorny ki nasihet kerta hoon Qk is mai bohat ziadah bhalai aur qabil sataish anjam hai. In Sha Allah.
Jaisa k Allah Ta'ala ny farmaya:

"Aur sabar karo beshak Allah sabar kerny walo k sath hai."
Al Enfaal 8:46.
Dosry mukam per youn farmaya:

"yaqinan jo shakhs Allah sy dar jaye aur sabar kery to beshak Allah Ta'ala naiki kerny walon k ajaz ko zaya nahi kerta."
Yousaf 12:90.
Mazeed farmaya:

"Yaqinan sabar kerny walon ko inka ajar bagair hisaab dia jayega."
Az'zamar 39:10.
Aik aur jagah youn farmaya:

"Pus sabar kijeye tehqeeq behtreen anjam perhaizgaro k liye hai."
houd 11:49.
khawand k sath dil lagi kerny aur aisy achay ilfaz k sath k jin sy iska dil naram hu jaye, mukhatib huny mai koi harj nahi shayed wohi ilfaz ap k bary mai iski khush roi ka sabab ban jayen aur is mai ap k haqoq ada kerny ka shaour bedar hujaye. jab tak woh tamam zarori aur aihem mamlat ki adaigi per qaeem hai app apni deenvi zaroriyat ka mutalba tark ker den hatta k iska seena khul jaye aur tumhary bary bary mutalibat k liye is k dil mai wusat paida hujaye. In Sha Allah, ap ka anjam qabil sataish hoga.
Allah TA'ala apko mazeed sabar-o-isteqamat sy nawazey aur ap k khawand ki islaah farmai, issy rashd-okher-o-diyat kery aur hussan khulq aur khandah paishani k sath bivi k haqoq ki adaigi ki toufeeq bakhshy k wohi sidha rasta dikhany wala hai. (shiekh ebn baaz)

No comments:

Post a Comment