MERA KHAWAND MERY SATH HUSSAN salook

MERA KHAWAND MERY SATH HUSSAN MUASHRAT SY KAAM NAHI LAITA

Question :
Mai arsa 25 saal sy shadi shuda hoon, mery kai bachay hain, jab k mujhy khawand ki tarf sy kai mushkilat ka samna hai. woh aksar mery bachu, azez-oaqarib aur aam logo k samny bila wajah meri be ezzati kerta hai aur issy meri qadar afzai ki kabhi toufeeq nahi howi. jab tak woh ghar sy bahir na chala jaye mujhy sukh ka sans naseeb nahi hota. yh bhi maloom hu k woh namaz parhta hai aur Allah Ta'la sy darta bhi hai. mujhhy umeed hai k ap salamti k rasty ki tarf meri rehnumai famrain gey. Jazzak-u-mul-laah khairan.
Answer :
Meri bahen sabar sy kaam ley, issy achy andaz sy samjhaye, Allah Ta'ala aur rozay qayamat ki yaad dilayen, shayed is tarhan woh haq ki tarf rajou kery aur bury ikhlaq chor dey. agar woh phir bhi apni zid per qaeem rehta hai to khud mujrim aur gunaahgar hoga jab k app sabar-o-isteqamat k badley ajar-e-azeem ki mustahiq therain gi. App namaz k doran mai aur aam halaat mai dua kerti raha karen k Allah TA'ala issy sirat mustaqeem dikhaye, ikhlaq fazla sy nawazey aur apko is k aur dosro k shar sy mehfoz rakhy. ap apna muhasba kerti rahen aur deen mai isteqamat ka muzahira karen, agar Allah Ta'ala ya khawand ya kisi aur k haq mai koi kotahi howi hai to khaliq-e-kainat k hazoor touba karen.
Ain mumkin hai k kisi gunaah ki wajah sy issy app per musallat ker dia gaya hu, is liye k irshad bari Ta'ala hai:

"Aur jo mosibat tumhain pohanchti hai woh tumhary hi hatho ki kamai sy hoti hai aur woh bohat sy gunaah muaaf ker daita hai."
As'shoura 42:30.
is mai koi muzaiqa nahi k app is k maa baap, bary bhaiyo ya aisy rishty daro aur hamsayu sy is k muta'aliq baat karen k jin ki is k haan koi qadar hota k woh issy samjhayen aur hussan muashrat ki talqeen karen. jaisa k irshad rabbani hai:

"aur in (biviyon) k sath hussan salook sy raho sahu."
Al nissa 4:19.
Naiz farmaya:

"aur orton ka haq (mardo per) wesa hi hai jaisa datour k mutabiq (mardo ka haq) orton per hai, albatta mardo ko orton per (aik goona) fazilat hasil hai."
Al bakra 2:228.
Allah TA'ala app donu k haal ki islaah farmai, app k khawand ko hadayat ata farmai aur issy rash-o-suwab ki tarf lotaye aur app donu ki khair-o-hadayat per ikatha rakhy. (shiekh ebn baaz)

No comments:

Post a Comment