HER WQT QASAM UTHATY REHNA AUR QASAM KA KUFARA
Question :
Mai doran guftagu akser (Wallah!) "Allah ki qasam!" kehti rehti hoon, kia yh qasam samjhi jayegi, tour doon to is ka kufara kaisy ada karon?
Answer :
Jab aik mukallaf musalman mard ya orat kuch kerny ya na kerny k qasad-o-iradey sy lafz (Wallah!) Allah ki qasam! do 3 ya ziada baar duhraye, MAslan: Allah ki qasam! mai fala shakhs sy nahi miloonga ya youn kahey: Allah ki qasam! mai falaa shakhs sy milon ga, wagaira wagaira, phir woh is qasam per amal na kery to is tarha woh qasam tourny ka murtakib huwa, lehaza is per qasam torny ka kufara daina lazim hoga jis ki miqdar 10 maskeenu ko khana khilana ya inhain kaprey pehnana ya gerdan (gulaam) azaad kerna hai. khany ki sorat mai shaher ki galib kurak, MAslna: khajor ya chawal wagaira mai sy nisf sa'a taqreeban aik kilo 50 garam her miskeen ko daina hoga. kapro ki sorat mai her aik mikeen ko kam az kam itna kapra daina wajib hai k jis mai namaz sahi hu saky, MAslan Qamees, teh band ya orehny ki chader, agar in teenu mai sy kisi aik ki bhi taqat na rakhta hu to phir teen din k rozay rakhna wajib hai. Irshad bari Ta'ala hai:
"Allah tum sy tumhari lagv qasamu per muwakhza nahi kerga lekin jin qasmo ko tum mazbot ker chukey hu in per tum sy muwakhzah karega. so is ka kufara 10 miskeenu ko ost derjay ka khana khilana hai jo tum apny ghar walo ko khilya kerty hu ya inhain kapra daina ya gulaam azaad kerna hai lekin jo shakhs iski taqat na rakhta hu to is per 3 din k rozay hain, yh tumhari qasamo ka kufara hai jab k tum uthao aur apni qasamo ki hifazat karo."
Al maida 5:89.
Lekin jo qasam qasad-o-iradey k bagair aisy hi zubaan per jari rehti hai to aisi qasam lagv shumar hogi aur is per kisi qisam ka kufara wajib nahi hoga. iski daleel Allah Ta'ala ka yh farman hai:
"Allah Ta'ala tum sy tumhari lagv qasamo per muwakhza nahi karega."
Al maida 5:89.
Kisi aik kaam k liye kai qasamen uthany per aur phir inhain torny per aik hi kufara wajib hai jaisa k hum ny abhi ziker kia hai aur agar kai kamo k liye aisa kia to her qisam k badly alag alag kufara daina wajib huga, Maslan: agar koi shakhs you kahy: Allah ki Qasam! mai fala ko zaror peeto ga wagaira to is sorat mai kisi aik qisam ko torny per aik kufara wajib hoga aur sari qasmen torny per her qisam k badley kufara daina hoga. Wallah WAlee At'toufeeq. (shiekh ebn baaz)
No comments:
Post a Comment