BAHTAR DOST AUR SATHI

 Assalamualaikum Warahmtullahi wabrakatahu

Bismillahirrahmanirraheem

BAHTAR DOST AUR SATHI
   ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
"ALLAH KE NAZDIK SATHIYO MAI SAB SE BAHTAR
WOH HAI JO APNE SATHI KE HAQQ ME BAHTAR HAI"
(Sunan tirmizi,albar vasalat,h#1977)

  sathi ke lafz mai kafi vasiyat hai.ek insan kisi daftar ya dukan mai mulajimat karta hai,vaha is ke sath kam karne vale dusre mulajim is ke sathi hai.kisi jagah safar mai jata hai,is ke sath rail,havai zahaj ya bus vagaira mai safar karne vala iska sathi hai,kisi ke sath karobar mai shirkat hai to woh is ka sathi hai,ghar mai is ki biwi is ki sathi hai, school,collage,University aur madrseme parhne vale iske ham sabak aur ham callas is ke sathi hai. va ala haza alkiyas isi tarah  is ke aur bhi sathi hosakte hai (jaise dost ahbab, kisi dawat mai sharik iska humnashin wagera) in sab ke sath husn suluq karna jaruri hai,woh safar ka sathi ho ya hajar ka,thori dair ka shathi ho ya lambi muddat ka , us se zati shuna sai ho ya na ho, koi mafad wabasta ho ya na ho, is se esa achha bartaw kiya jaye ke woh yad rakhe ke kisi achhe insan se wasta parha tha,us ki rifaqat us ke liye hasin lamhat aur khush gawar yadon mai dhal jaye. aise sathi ko log bhi achhe alfaz se yaad karte hai aur ALLAH ke yaha bhi woh muazaz wa mukrram aur husn rifaqat ki wajah se husn silah ka mustahiq hoga.

No comments:

Post a Comment