MUNKIREEN E HADEES KO JAWAAB


MUNKIREEN E HADEES KO JAWAAB

Bismillahirrahmanirraheem

Munkireen E Hadees ki taraf se Aetraaz kiya jaata hai k baad mai chal kar bahut saari mouzu, manghadat aur zaeef hadeese sahih hadeeso mai mil gayi
iska intezaam bhi Allah Tabarak o Ta'ala ne kar diya, Aese aese loogo ko tayyar kiya abhi ek misaal dunga aur aapko hairaan kar dunga
Ek Ek raavi k halaat e zindagi ko chaan mara gaya aur Allah ta'ala ne ye farmaya tha k kisi khabar ko accept (amal) karne se pehle uski tehqeeq karlo khabar agar muhaqqaq ho jaye to maan lo muhaddiseen ne raavi-yaan E hadees ka pura kaccha chittha khool dala
Mai misaal deta hu us se pehle hadees pad leta hu (yaani likh deta hu) 

Hadees: AN ABI HURIRATA RAZI ALLAHU TA'ALA ANHU QALA QALA NABIYU SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM QALIMATAANI HABIBATAANI ILAL RAHMAAN KHAFI FATAANI ALAL LEESAAN SAKILATAANI FILMEEZAAN SUBHAN ALLAHI WA BIHAMDIHI SUBHAN ALLAHIL AZEEM (SHAHI BUKHARI KITABUT TAUHEED HADEES NO. 7563)
Imam Bukhari is Hadees ko bilkul aakhir mai laye hai aur ye Bukhari ki aakhiri hadees hai yaha par Bukhari khatam ho jati hai iske baad koi riwayat nahi hai raavi hazrat e Abu Huraira Razi Allahu Anhu hai

Tarjuma: Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu ne kaha k Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Do kalme aese hai jo Allah Tabarak o Ta'ala ko bahut hi pasand hai jo zuban par halke hai aur qayamat k din aamaal ki taraazu mai boojhal ba wazan honge, wo kalmaat e mubaraka ye hai "SUBHAN ALLAHI WABIHAMDIHI" "SUBHAN ALLAHIL AZEEM". (Bukhari Kitabut Tauheed Hadees no. 7563)

Mene ye hadees Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu se shuru ki, Ab koi Munkireen E Hadees ye kahe k aapne Abu Huraira Razi Allahu Anhu ko dekha hai, mai kahunga Abu Huraira Razi Allahu Anhu ko to dekha nahi lekin "Mujhse lekar Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak jitne loog hai sab mere saamne hai (yaani puri sanad mojood hai) isliye k ye hadees Bukhari Shareef mai hai"

Mene yani SHEIKH JALALUDDIN QASMI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MOLANA SAEED AHMAD PALANPURI SE
MOLANA SAEED AHMAD PALANPURI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD BAKHRUDDIN MURADABAADI SE
BAKHRUDDIN MURADABAADI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MEHMOOD UL HASAN DEOBANDI SE
MEHMOOD UL HASAN DEOBANDI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MOLANA QASIM NANOTAVI SE
MOLANA QASIM NANOTAVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH ABDUL GANI MUJADDADI SE
SHEIKH ABDUL GANI MUJADDADI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAH ABDUL AZEEZ MUHADDIS DEHALVI SE
SHAH ABDUL AZEEZ MUHADDIS DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAHI SAAB DEHALVI SE
SHAHI SAAB DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAH WALI ULLAH MUHAADIS DEHALVI SE
SHAH WALI ULLAH MUHAADIS DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH ABU TAHIR QURDI SE
SHEIKH ABU TAHIR QURDI NE BUKHARI PADHI APNE WALID IBRAHEEM QURDI SE
IBRAHEEM QURDI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH AHMAD KASH'SHSHI SE
SHIEKH AHMAD KASH'SHSHI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH AHMAD SHANNAAVI SE
SHEIKH AHMAD SHANNAAVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MUHAMMAD IBNE YOUSUF RAMLI SE
MUHAMMAD IBNE YOUSUF RAMLI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD ZAKARIYA ANSARI SE
ZAKARIYA ANSARI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD HAZRAT E HAAZIF IBNE HAJAR ASKALAANI SE
HAZRAT E HAAZIF IBNE HAJAR ASKALAANI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD IMAM IBRAHEEM TANOOKHI SE
IMAM IBRAHEEM TANOOKHI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD AHMAD IBNE ABI TALIB SE
AHMAD IBNE ABI TALIB NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SARRAAJ AL HUSSAIN IBNUL MUBARAK SE
SARRAAJ AL HUSSAIN IBNUL MUBARAK NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH HARVI SE
SHIEKH ABDULLAH HARVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH IBNE MUZAFFAR DAWOODI SE
SHIEKH ABDULLAH IBNE MUZAFFAR DAWOODI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH SARAKHTI SE
SHIEKH ABDULLAH SARAKHTI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MASH'HOOR MUHADDIS MUHAMMAD IBNE YOUSUF THARAPHARI SE
MASH'HOOR MUHADDIS MUHAMMAD IBNE YOUSUF THARAPHARI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD HAZRAT E IMAAM MUHAMMAD IBNE ISRAEEL AL BUKHARI SE

HAZRAT E IMAAM MUHAMMAD IBNE ISRAEEL AL BUKHARI KEHTE HAI HADDASANA AHMAD IBNE ISKAAB, HADDASANA MUHAMMAD IBNE FUZAILIN, AN UMARATA

No comments:

Post a Comment