Shaheed ki tamanna

❤Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Shaheed ki ye tamanna hogi ki dobara duniya mein wapas jakar 10 martaba aur Allah ki raah mein qatl ho jaye

Masrooq Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki humne Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se is aayat ka matlab pucha

“ Al Quran: Jo log Allah ki raah mein maare jaye unhe murda na kaho bulki wo zinda hain aur apne RAB ke pass se unhe rizq diya jata hai

{Surah Aal-e-imran 3:163”}

Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu ne jab is aayat ka matlab Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

Shaheedo ki roohein sabz parindo ke Qalib mein (jism mein) apne qandilo ( yani ghoslon ) ke andar Arsh se latak rahi hain aur jaha chahti hain jannat mein charti ( khati) phirti hain aur phir apne kandilo ( ghoslo) mein aa jati hain.

Ek baar unka RAB unki taraf mutwajje hua aur (un rooho se ) farmaya tum aur kuch chahti ho ? unhone kaha ab hum aur kya chahenge hum to jannat mein charti ( khati) phirti hain.

Unke RAB ne yahi baat (tum aur kuch chahti ho ?) unse teen baar puchi
Jab unhone dekha ki bina jawab diye hamari rihayee nahi to unhone kaha ki eh hamare RAB hum ye chahte hain ki hamari rooho ko hamare (duniya ke) jismo mein pher de taaki hum teri raah mein phir se qatl kiya jaye”
jab RAB ne dekha ki ab unki (yaha) koi khawahish nahi to unhe yu hi chhodh diya

{Sahih Muslim, Vol 5, 4885}

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi shaksh aisa na hoga jo jannat mein dakhil honey ke baad duniya mein dobara aana pasand karey chahey usey sari duniye mil jaye, siwaye shaheed ke, iski ye tamanna hogi ki duniye mein dobara wapas jakar 10 martaba aur Qatl ho jauu kyunki wo shahadat ki Ezzat wahan dekh chuka hota hai.

{Sahih Bukhari, vol 4, 2817}

No comments:

Post a Comment