Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-10)
YAQEENAN NABI MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM INSAAN HAIN :
Allah Tala Ka Irshad Hai
“(Farishtey) Ibraheem Ke Paas Khush’khabri Lekar Pahunche , Salam Kaha Unhone Bhi Salam Kaha, Be’ghair Takheer Gaaye Ka Bhuna Ghost Le Aaye, Ab Jo Dekha Ki Inke Haath Bhi Iski Taraf Nahin Badhte Toh Inki Ajnabi Samjhkar Dil Hi Dil Me Khauff Karne Lage, Inhone Kaha Daro Mat, Ham Qaum E Loot Ki Taraf Bheje Hue Aaye Hain”
(Surah Hud Ayat No. 69-70)
Malum Hua Agar Koi Noori Makhlooq Insaani Duniya Me Bhi Aayega Toh Wo Khana Peena Nahin Khayega, Ye Aayat Itni Zabardast Daleel Pesh Karti Hai Ki Baatil Parast Aundhe Muh Gir Padte Hain,
Noori Makhlooq Ko Na Bhook Lagti Hai Na Pyaas, Na Unke Khoon Nikalta Hai Na Dard Hota Hai, Aur Na Hi Unke Biwi Bacche Khanaadan Hote Hain, Iske Bar’asks Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Biwi, Bacche, Maa –Baap, Rishteydar Sab They, Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Taif Me Zar’kob Kiya Gaya Toh Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Khoon Nikla Aur Jootiyan Khoon Se Bhar Gayin, Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Bhook Pyaas Bhi Lagti Thi, Fir Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Noori Makhlooq Kaise Ho Sakte Hain ??
Jo Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Makhlooq Mane Toh Goya Usne Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Mazaaq Udaaya, Goya Usne Kaha Ki
“Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Agar Deen Ki Raah Me Bhooke Pyaase Rahe Toh Kya Hua Aap Noori Makhlooq They, Aapko Bhook Aur Pyaas Lagti Hi Nahin Thi, Aur Job Hook Aur Pyaas Ki Wajah Se Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apne Pet Par Pathar Baandhe They (Naozubillah) Wo Drama Karte They”
Chunanche Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Jo Aziyat Sahi, Taif Me Patthar Khaaye, Uhud Me Daant Mubarak Tak Shaheed Ho Gaye Wagerah Sab Bekaar Gaya, Kyonki Noori Makhlooq Ko Dard Ka Ehsaas Nahin Hota, Hatta Ki Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Saari Haayat E Mubaaraka Ki Saari Qurbaaniyan Noori Kah Kar Zaaya Kar Diya Aur Aakhirat Me Bhi Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Koi Bulandi Nahin Hogi Kyonki Ummat Kahegi
“Allah Namaz, Roza, Hajj, Zakaat, Buraiyyon Se Bachna , Jihad Karna, Taqwa Akhtiyar Karna Wagerah Bahut Kathin Kaam Hai Isiliye Ham Nahin Kar Sake,
Allah Farmayega: ”Kyon Na Kar Sake? Tumhare Darmiyaan Hamara Nabi Tha Usne Toh Ye Sab Kar Liya Aura Mal Karke Dikha Diya, Fir Tum Kyon Na Kar Sake??”
Ummat Kahegi:-”Unhe Maaro Toh Chot Lagti Nahin, Dard Hota Nahin, Toh Agar Unhone Jihad Kar Diya Toh Kaunsa Kamala Kar Diya, Unhone Musibat Sahi Faaka Kiya Aur Roze Rakhe Toh Kaunsa Teer Maar Diya, Unhe Bhook Pyaas Lagti Nahin, Haan ! Agar Tune Hamare Beech Hamari Hi Jinss Ke Insaan Ko Nabi Banaakar Bhejta Aur Wo Hamare Darmiyaan Rahkar Ye Saare Kaarnaame Karta, Agar Fir Ham Aisa Amal Na Karke Aate Toh Hamari Ghalti Thi”
Batao Naadano!! Tumne Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Kah Kar Nabi E Kareem Ki Tauheen Toh Ki Hi, Allah Ki Hikmaton Ko Bhi Challenge Kar Daala Jiski Hikmat Aur Tadbeer Sab Se Aala Wa Afzal Hai
DALEEL NO.2
“Maseeh Maryam Ka Beta Toh Sirf Ek Paighambar Hi Toh Hai, Aur Isse Pahle Bhi Kai Paighambar Ghuzar Chuke Hain Aur Uski Maa Ek Siddeqa (Sacchi) Thi, Dono Khana Khate They”
(Surah Maida Ayat No 75)
Wah Khana Khaate They Isliye Wah Allah Tala Ke Juzz (Tukde) Nahin They, Allah Tala Chaahta Toh Kaaynaat Ki Badi Si Badi Misaal De Sakta Tha Lekin Allah Tala Ne Bashariyat Ke Liye Sirf Khana Khane Ki Misaal Dekar Allah Aur Bande Ka Farq Waazeh Kiya Aur Isme Itni Hikmat Posheeda Hai Ki Aqal Wala Sajde Me Gir Jaaye, Jo Khane Ka Mohtaaj Ho Wo Allah Tala Ka
Tukda Kaise Ho Sakta Hai,
DALEEL NO. 3
No comments:
Post a Comment