ALLAH ARSH PE HaI

Bismillahirrahmanirraheem

Charo imamo rh k aqwaal k baad degar tabayi aur taba tabayi k aqwaal paish e khidmat hai, jis tarha charo imamo ka zikr karte hue unki tareekh e wafaat likhi thi in sha Allah isi tarha ab jin jin buzurgaan e deen ka zikr karunga unki tareekh e wafaat bhi zikr karunga

1. Masrook bin ajdaa al hamdaani koofi rahimahullah (tabayi tareekh e wafaat 62 hijri)
inhone bahut se sahaba RA se sunnat e Rasool SAW afzal salaat wa tasleem ka ilm hasil kiya aur aagey pahunchaya, jab ye emaan walo ki maa Aisha RA se koi hadees riwayat karte to kaha karte: mujhe siddeque ki beti siddeqa, Allah k habeeb ki habeebiya, jis ki baraat 7 aasmano k uper se hue, ne bataya: aur phir hadees bayan karte imam ibne qayyim rh ne "IJTAMA  JAYUSH AL ISLAMIYA" mai is qaul ko sahih karaar diya.

2. Sufyan suri rahimahullah (tabayi tareekh e wafaat 161 hijri)
kehte hai k mai rabiyya bin abu abdur rahman rahimahullah (tabayi tareek e wafaat 163 hijri) k paas tha k ek aadmi ne unse pucha "rahman arsh par istawa kese hue hai, is istawa ki kefiyat kya hai?" to unhone jawab diya: istawa kya hai ye sab ko maloom hai, aur (Allah k) is istawa ki kefiyat kya hai ye hame nhi maloom lekin is par eman lana farz hai aur is kefiyat k baare mai sawal karna bidaat hai, imam zahbi rh ne kaha "ALAWUL ALLIYIL GAFFAR" mai ye riwayat nakal ki, aur imam al albani rh ne is ko sahih sanad karar diya.

3. Ibne ayeena abu imran rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 198 hijri)
kehte hai k mai rabiyya bin abu abdur rahman rahimahullah (tabayi tareek e wafaat 163 hijri) k paas tha k ek aadmi ne unse pucha "rahman arsh par istawa kese hue hai, is istawa ki kefiyat kya hai?" to unhone jawab diya: istawa kya hai ye sab ko maloom hai, aur (Allah k) is istawa ki kefiyat kya hai ye hame nhi maloom aur ye paigham Allah ki tarf se hai, aur Rasool Allah SAW k zimmey mai uski tableeg thi (so wo unhone kardi) aur hamare zimmey is ki tasdeeq karna hai (jo hum karte hai) imam habtullah bin hasan al lalkayi abu mansoor rh tareekh e wafaat 418 hijri ne "ETAQAAD AHLUS SUNNAH" mai sahih sanad k sath riwayat kiya.

4. Imam e tafseer al zihaak bin mazahim halali rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 106 hijri)
ki taraf se bayan karte hue kehte hai k unhone kaha: Allah apne arsh par hai aur uska ilm un (yani uski makhlookaat) k sath hai (imam allama qazi subhan abu ahmad asaal aur imam habdullah al lalkayi rh ne sahih sanad k sath nakal kiya)

5. Siddeque ibne muntasir kehte hai k mene sulemaan tameemi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 172 hijri)
ko kehte hue suna: agar mujhse ye pucha jaye k Allah kaha hai to mai ye kahunga k wo aasman par hai, imam zahbi rh ki "ALAWUL ALLIYAL GAFFAR" daleel rakam 114, imam al albani rh ka kehna hai k (ye kaul) imam habtullah al lalkayi rh ne sahih sanad k sath riwayat kiya.

6. Imam abdur rahman bin umar al ouzayi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 157 hijri)
kehte hai: hum tabayi ki mojoodgi mai bhi ye hi kaha karte they k: Allah apne arsh k uper hai aur Allah ki jo bhi sifaat sunnat e shareefa mai warid hue hai hum un par (bila taweel) emaan rakhte hai. (imam beheqi rh ne "ASMA WA SIFAAT" mai imam hakim rh ki riwayat se nakal kiya)

7. Waleed bin muslim rahimahullah kehte hai k mene imam abdur rahman bin umar al ouzayi rh aur imam malik bin anas rh (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri) aur imam sufyan suri rh (taba tabayi tareek e wafaat 161 hijri) aur imam al lais bin saad fehmi misri rh (taba tabayi tareekh e wafaat 175 hijri) rahimahullah jameean se un ahadees k baare mai pucha jin mai Allah ki mukhtalif sifaat ka zikr hai to unhone kaha: is par aese hi emaan rakho jesa k ahadees mai aya hai. (MUKHTASAR ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam zahbi rh

No comments:

Post a Comment