JO ROZA NAHI RAKHTE UNKA ANJAM KYA HOGA ??

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat abu imama bahili (r.a)kahete hai mai ne rasool (saw) ko farmate huwe suna mai soya huwa tha aur mere pass do admi aye unhone mujhe bazuwon se pakda aur mujhe ek mushkil chadai wale pahad per laiye aur dono ne kaha iss per chadey

mai ne kaha mai nahi chadh sakta unhonne kaha hum aapke liye sahulat paida karege pas mai chadh gaya hatta ke mai pahad ki choti per pohnch gaya jahan mai ne shadid chiq wo pukar ki awazen suni mai ne pucha yeh awazen kaisi hai ??

Unhonne bataya yeh jahannamiyo ki chiq wo pukar hai phir wo mere sath agey bade jahan mai ne kuch log ulte latke huwe dekhe jin ke muh ko chira diya gaya hai jisse khoon bahe raha hai mai ne pucha yeh kaun log ?? hai unhonne jawab diya yeh wo log hai jo roza waqt se phele iftar karliya karte they

(( AL-TARGEEB WAL TARHEEB ALJAK-AL-AWAL 995))

Issi murad wo bhi hai jo roza rakhte hee nahi aur wo bhi hai jo rakh kar thod dete hai aur wo bhi hai jo abhi gurub e aftab hota bhi nahi ke iftar kar lete hai

No comments:

Post a Comment