Bismillahirrahamanirraheem
SADQA E FITR FARZ HAI
SADQA E FITR KA MAQSAD ROOZEY KI HALAT MEIN SARZAD HONE WALE GUNAHO SE KHUD KO PAAK KARNA HAI
SADQA E FITR NAMAZ E EID SE QABL ADA KARNA CHAHIYE WARNA AAM SADQA SHUMAR HOGA
SADQA E FITR K MUSTAHIQ WAHI LOOG HAI JO ZAKAAT K MUSTAHIQ HAI
Hazrat ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sadqa e fitr, roozey daar ko behudagi aur fahash baato se paak karne k liye neez mohtaajo k khaane ka intazaam karne k liye farz kiya gaya hai jisne namaz e eid se pehle ada kiya uska sadqa fitr ada ho gaya aur jisne namaz eid k baad ada kiya uska sadqa aam sadqa shumaar hoga. (Sahih Sunan ibne Maja Hadees no. 1480)
SADQA E FITR KI MIQDAAR EK SAA'A HAI, JO POONEY TEEN SAIR YA DHAYI KILOGRAM K BARABAR HAI
SADQA E FITR HAR MUSALMAN GULAM HO YA AAZAAD, MARD HO YA AURAT, CHOOTA HO YA BADA, ROOZADAAR HO YA GAIR ROOZADAAR, SAAHIB E NISAAB HO YA NA HO, SAB PAR FARZ HAI
Hazrat ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ramazaan ka sadqa e fitr ek saa'a khajoor ya ek saa'a joo, gulaam, aazaad, mard, aurat, chootey, bade har musalman par farz kiya hai. (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat baab sadqatul fitr)
SADQA E FITR GALLA KI SOORAT MEIN DENA AFZAL HAI
GAIHU, CHAWAL, JOO, KHAJOOR, MUNAQQA MEIN SE JO CHEEZ ZAIR E ISTEMAAL HO, WAHI DENI CHAHIYE
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu farmate hai k hum sadqa e fitr ek saa'a galla ya ek saa'a joo ya ek saa'a khajoor ya ek saa'a munaqqa diya karte they. (Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 572)
SADQA E FITR ADA KARNE KA WAQT AAKHIR ROOZA IFTAAR KARNE K BAAD SHURU HOTA HAI, LEKIN EID SE EK YA DO DIN PEHLE ADA KIYA JA SAKTA HAI
SADQA E FITR GHAR K SARPARAST KO GHAR K TAMAAM IFRAAD BEEWI, BACCHO AUR MULAZIMO KI TARAF SE ADA KARNA CHAHIYE
Hazrat Nafey Rahimahullah se riwayat hai k ibne Umar Razi Allahu Anhu ghar k choote bade tamaam ifraad ki taraf se sadqa e fitr dete they hatta k mere baito ki taraf se bhi dete they aur ibne Umar Razi Allahu Anhu un loogo ko dete they jo qubool karte aur eid ul fitr se ek ya do din pehle dete they. (Sahih Bukarhi Kitabuz Zakaat)
No comments:
Post a Comment