BERON WATAN CHEHRA KHULLA RAKHNY KA HUKAM

BERON WATAN CHEHRA KHULLA RAKHNY KA hukam
Question :
Kia saudi Arb sy bahir safar ki sorat mai mery liye chehra nanga kerna aur perdah utar phenkana jaiz hai? Qk is wqt hum watan sy dour huty hain aur koi humain pehchanta bhi to nahi, meri waldah mery walid ko is baat per amaadah kerti rehti hai k woh mujhy chahra nanga rakhny per majbor kery aur is liye bhi k jab mai apna chahra chupa rakhti hoon to woh mery bary mai guman kerty hain k shayed mai logo ki tarf apni nazar ko pherti hoon.
Answer :
App ya kisi bhi musalman khaton k liye bilaad kuffer mai bhi issi tarha be perdah hona jaiz nahi hai jis tarha k islami mulko mai jaiz nahi hai. ajnabi mardo sy perdah kerna baherhaal wajib hai chahy woh musalman houn ya kafir balky kafiro sy to ziada shidat k sath perdah kerna chaheye Qk in ka to koi emaan hi nahi hai jo inhain muherikaat shariya sy rok saky. Allah Ta'ala ki haram kerdah ashiya k irtekab ki khatir waldain ya gair waldain kisi ki etat jaiz nahi hai. na app k liye aur na kisi aur k liye, irshad bari Ta'ala hai:

"aur jab tum in (azwaj mutahraat) sy koi cheez mangu to perday k peechy sy mangu, yh tumhary aur in k dilo k liye ziadah pakeezah hai."
Al aihzaab 33:53.
Allah Ta'ala ny is ayaat mai wazeh farma dia hai k orton ka gair mehram mardo sy perdah kerna sab k dilon k liye baees taharat-o-pakeezgi hai.
Issi tarha sorat noor mai Allah Ta'ala ka farman hai:

"(Aye Nabi!) emaan wali orton sy farma dijeye k apni nazrain neechi rakhen aur apni sharamgahu ki hifazat kia karen aur apni araish (zaiwer k muqamat) ko zahir na huny dia karen magar jo is mai khulla rahta hu aur apni orhniyan apny seeno per orhy raha karen aur apni raaish k zahir na karen siwaye apny khawando k, ya apny baapu k, ya apny khaser k, apny beto k, ya apny khawando k beto k, ya apny bhaiyon k, ya apny bhatejo k, ya apny bhanju k ya apni (hi qisam ki) orton k ya londi gulamo k, naiz in khadam k jo orton ki khuwaish na rakhen ya aisy larku k jo orto k perdy ki chezon sy waqif na houn. aur apny paon (es tarha zameen per) na maren k (jhankaar kano mai pohanchy aur) in ka poshidah zaiwer maloom hujaey. Aye Ahl Emaan! sab Allah k aagy touba karo ta k tum falaah pao."
Al noor 24:31.
aur chehra to sab sy bari zeenat hai.
Shaikh ibn Baz

No comments:

Post a Comment