GAIR MUSLIM ORAT K SAMNY APNY BAAL KHOLNA JAIZ HAI

GAIR MUSLIM ORAT K SAMNY APNY BAAL KHOLNA JAIZ HAI

Question :
Kia musalman orat gair muslim orat k samny apny baal khol sakti hai, khas tour per es wqt jab woh apny gair muslim rishtadar mardo k samny is k muhasan biyaan kerti hu?
Answer :
Yh masla is irshad bari Ta'ala ki tafseer mai oulama k ikhtalaf per mabni hai:

"Aur apni zeenat zahir na karen magar haan apny khawando k liye ya apny baapo ya apny khawando k baapo ya apny beto ya apny khawando k beto ya apny bhaiyo ya apny bhatiju ya apny bhanjo ya apni orton (k liye.)"
Al noor 24:31.
Oulama ny (Nisaaehinna) ki zameer mai ikhtalaf kia hai. baaz ko kehna hai k is sy murad bila takhsees orton ki jins hai jab k baaz dosrey oulama k nazdeek is sy wasf murad hai, jis sy murad sirf momin ortain hain. pehly qaul ki ro sy musalman orat k liye gair muslim orat k samny apna chehrah aur baal kholna jaiz hai, jab k dosry qaul ki ro sy yh najaiz hai. hamara meelan pehli rai ki tarf hai aur yahi rai aqrab Ellas suwab hai. Qk aik orat ki touseef-o-tehseen kerti hu to daree halaat fitny sy bachao zarori hai. aisi halat mai woh apny jism ka koi bhi hissa: paon ya baal wagaira kisi bhi musalman ya gair muslim orat k samny na kholey.
Shaikh ibn Uthaimin

No comments:

Post a Comment