WAZO MAI SHAK PERNY KA HUKAM
1216wazo mai shak perny ka hukam
Posted on March 30, 2013 | Filed under Physical Purification, Taharat
Question :
Jab kisi shakhs ko shak par jaye k iska wazo toot gaya hai ya nahi to is bary mai sharai hukam kia hai?
Answer :
Jab kisi shakhs ko wazo totny ya baki rehny k mutaliq shak ho to is bary mai asal yh hai k taharat zpni halat per barqarar rahegi aur shak mazar nahi huga.Qk Jab Nabi (S.A.W) sy us shakhs k bary mai sawal kia gaya jo doran-e-namaz kuch mehsos kerta hai to App (S.A.W) ny farmaya:
"Woh namaz sy na nikaly yahan tak k awaz suny ya badbu pai."
sahi albukhari'hadis:137'wa sahi muslim'hadis:361.
App (S.A.W) ny wazay farmaya k taharat hasil kerny k baad asal taharat aur pakezgi hai ta wqt yh hadas (be wazo hona) yaqini tour per mutahaqaq hujaye.shak ki sorat mai iski taharat sahi aur sabit rahigi,lehaza is kliye namaz parhna,tawaf kerna aur tilawat-e-Quran kerna jaiz hoga.yahi asal hai. Al humdulillah yh islam ki nawazishat haur asani ka aik mazher hai. (shiekh ebn baaz)
No comments:
Post a Comment