ORAT KA TELEPHONE PY GUFTAGU KERNA

ORAT KA TELEPHONE PY GUFTAGU KERNA

Question :
kanwarey nojawan ka do sheza sy telephone per baat cheet kerny ka sharan kia hukam hai?
Answer :
Ajnabi orat k sath lajajat sy labraiz Eshiqia aur naz-o-nakhrey k andaz mai shehwat angaiz guftagu kerna jaiz nahi hai. aisi guftagu phone per hu ya kisi aur zariye sy, bilkul haram hai. Irshad Bari Ta'ala hai:

"Pas naram lehjy sy baat na karo warna woh shakhs jis k dil mai khout hai woh (galat) tuwaquat paida keryga."
Al Ahzab 33:32.
haan, guftagu agar fitny sy khali hu to zarorat sy paish-e-nazar kisi sy baqadar zarorat guftagu kerny mai koi harj nahi hai.
Irshad bari Ta'ala hai:
"Aur jab Nabi ki biviyon sy kuch mangu to perdy k peechy sy mangu tumhary aur in k dilon ki kamil pakeezgi yahi hai."
Al Ahzab 33:53

FAMILY DRIVER AUR ORTAIN

FAMILY DRIVER AUR ORTAIN

Question :
Gharelo driver ka ghar ki orton aur do shezaon sy milna julna aur in k sath market ya school wagaira jana sharan kia hukam rakhta hai?
Answer :
Rasool Allah (S.A.W) ka farman sahi hadis mai sabit hai:

"koi shakhs kisi orat k sath khalwat mai nahi hota magar teesra inka shetan hota hai."
Jamia At'tramzi' hadis: 2165' wa masnad Ahmed:1/ 18.
khalwat ghar mai ho ya gari mai, market mai hu ya kahiin aur aik hi baat hai. mard-o-zan ki tanhai mai is amar ki koi zamanet nahi k in ki guftagu baees fitna aur shahwet angaiz nahi hogi. is baat k bawajod k baaz khawateen-o-hazrat mai perhaizgari aur khasheet elahi majood hoti hai aur in mai ma'asiyat-o-khayanat sy nafrat bhi majood hoti hai magar in mai shetan mudakhlet kerta hai aur gunnah ko kam ter sorat mai paish ker k faraib kari ka karobar khol daita hai, lahaza is sy ejtanab kerna ziadah hifazat aur a'ala salamti ka baees hai. (shiekh ebn jabreen)

BILA SHADI BURHI HUJANY WALI LARKIYON KO NASIHET

BILA SHADI BURHI HUJANY WALI LARKIYON KO NASIHET

Question :
Mai ap sy aik aisy masley k bary mai deryaft kerna chahti hoon jo mery aur mery jaisi dosri larkiyn sy muta'aliq hai, woh yh k Allah Ta'ala ny hamary muqadar mai bagair shadi k rehna likh dia hai, jab hum shadi ki umer sy guzer ker mayosi ki dehleez per jaa bethi hain, is haqiqat k bawajood k hum bahamdulillah ikhlakiyat k a'ala mukaam per faiz hain aur university ki satah tak ta'aleem yafta hain magar hamara muqadar yahi hai. madi pehlu aik aisa pehlu hai jo kisi ko hum shadi kerny ki tergeeb nahi daita Qk shadi k mamlaat khas tour per hamary mulk mai mustaqbil mai ronuma huny waly halat k aitbar sy mian bivi ki mushrkat per inhesar kerty hain. barah-e-karam meri aur mery jaisi deegar behnu ki rehnumai farmain aur humain nasihet sy nawazain.
Answer :
Shadi sy mehrom reh jany wali orat ko meri nasihat hai jaisa k saila ny ishara kia hai k woh gir gira ker, ajiz-o-inkisar k sath bargaah elahi mai ilteja karen k woh aisy mardo ko in ka muqadar banay jin k deen aur ikhlaq ko woh pasand kerta hu. insan jab sadaq dil sy Allah Ta'ala ki taraf mutawajja hu, dua k adaab ko malkhut rakhty huway qaboliyat dua ki rokawato ko dour ker k dua mangy to aisy logo k bary mai woh farmata hai:

"aur jab mery ap sy mery muta'aliq deryaft karen to (bata dijeye k) mai bohat qareeb hoon, jab koi pukarny wala mujhy pukarta hai to mai iski dua qabool kerta hoon. logo ko chaheye k woh mery aihkaam qabool karen aur mujh per emaan layen ta k woh hadayat paa jayen."
Al bakra 2: 186.
Naiz farmaya:

"aur tumhary Rab ny farmaya: tum mujhey pukaro mai tumhari dua qabool karonga."
almomin 40:60.
Jab banda Allah Ta'ala ki taraf sy yaqeen-o-emaan ki dolat sy mala maal hu ker mutawjajjah hu to Allah Ta'ala iski dua ko sharf qaboliyat sy nawazta hai. mai dua kerny , tawajjah il'lallah rakhny, is k hazoor ajiz-o-inkesar paish kerny aur kushadgi ka intezar kerny sy barh ker kisi cheez ko taqatwer nahi samjhta.
Nabi (S.A.W) ny farmaya:

"Jaan lo yaqinan na pasandedah cheezon per kerny mai bohat sy khair-o-bhalai hai aur beshak madad sabar k sath, khushali bad haali k sath aur asani tangi k sath hai."
Masnad Ahmed: 1/308.
Mai Allah RAb-ul-Ezzat sy in k liye aisy naik mardo ka intezam farmai jo deen-o-dunia ki bhalai ki khatir in ka intekhab karen. Wallah A'alim Shaikh ibn Usaimin

AJNABI ORTON SY MUSAFIHA KERNY KI HURMAT

AJNABI ORTON SY MUSAFIHA KERNY KI HURMAT

Question :
Islam ny gair mehram mardon per orton sy musahifa kerna Q haram qarar dia hai? kia bagair shehwat k orat sy musahifa kerna naqiz wanu hai?
Answer :
Islam ny gair mehram mardon per orton sy musahifa kerna is liye haram qarar dia hai k ajnabi orton ko chona bary bary fitnu mai sy hai. her woh cheez jo fitno ka sabab hu shara ny is sy mana kia hai.
Irshad Nabvi hai:

"mai orton sy musahifa nahi kerta."
sanan ebn majah' hadis: 2874' wa sanan an'nasai' hadis: 4186.
issi liye fasad sy bachny ki khatir shariyat ny nazrain jhuka k rakhny ka hukam dia hai.
Irshad bari Ta'la hai: "(Aye Nabi!) momin mardo sy ker dijeye k woh apni nazrain neechi rakhain aur apni sharam gahu ki hifazat karen yh in k liye bohat pakeeza (amal) hai, jo kuch woh kerty hain, Bilashubaah Allah is sy khoub bakhaber hai. aur app momin orton sy keh dijeye k woh bhi apni nazrain neechi rakhen aur apni sharamgahu ki hifazat karen.
Al Noor 24:30, 31.
Jab koi shakhs apni bivi ko choaye (hath lagaye) to agarcha yh shehwat k sath hi Q na hu, naqiz wazu nahi, haan is k natejey mai agar mani ya mazi ka ekhraj hu to mani nikalny ki sorat mai gusal kerna zarori hai jabk mazi nikalny ki sorat mai sharamgah aur fotu ko dhony k bad wazu kerna wajib hai.
Hazrat Ali R.A. ny miqdad R.A. k zariye sy Nabi Akrem (S.A.W) sy masla deryaft kia k agar mazi nikal jaye to kia kerna chaheye. App ny farmaya:

"Apni sharamgah ko dhou ker wazu ker lo."
[sahi albukhari' hadis: 269.]
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin

Bivi ki duber mai jama'a kerny wala la'anti hai

BIVI KI DUBER MAI JAMA'A KERNY KA HUKAM

Question :
Aik shakhs ny apni bivi sy iski duber mai apni khuwaish puri kerny ka mutalba kia. kia deeni nuqta nazar sy iska yh amal darust hai?
Answer :
Yh amal nahayat qabeeh hai. Imam Abu daud aur Imam nasai Rehmat ul Allah wagaira ny jaid sanad k sath ravayat biyan ki hai k Nabi (S.A.W) ny farmaya:

"Apni bivi ki duber mai jama'a kerny wala la'anti hai."
masnad ahmed: 2/444' wa sanan abi daud' hadis:2162' wa jamia at'tramzi' hadis:135.
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin

Doran haiz orat sy nikkah jaiz aur darust hai

Doran haiz orat sy nikkah jaiz aur darust hai. is mai qatan koi harj nahi hai, is liye k uqad nikkah mai asal cheez iska halal aur sahi hona hai. jab k halat haiz mai tehreem nikkah ki koi daleel nahi. agar sorat haal iss tarhan ki ho to nikkah darust hai aur is mai koi harj nahi. yahan nikkah aur talaq k mabain farq ko samjhna zarori hai. doran haiz talaq daina najaiz balky haram hai. Jab Rasool Allah (S.A.W) ko yh baat pohanchi k Abdullah bin umer R.A. ny apni bivi ko haiz k doran mai talaq di hai to App (S.A.W) sakht naraz huway aur issy hukam dia k woh bivi sy roju kary, phir agley tuher tak issy chory rakhy, phir chahey to issy talaq dy dey aur agar chahy to rok ley.
sahi albukhari' hadis:5251' wa sahi muslim' hadis: 1471.
Aur Allah Ta'ala ka Irshad hai:

"Aye Nabi! (logo sy keh dijeye k) jab tum apni biviyon ko talaq daina chaho to in ki edat mai inhain talaq do aur edat ka hisab rakho aur Allah sy darty raho jo tumhara perwardigar hai, na tum inhain in k gharon sy nikalo aur na woh khud niklain bajuz is sorat k ky woh khuli behayai ker bethain. Yh Allah Ta'ala ki muqarer kerdah hadain hain aur jo shakhs Allah Ta'ala ki hadod sy tajawuz keryga yaqinan woh apny app per zulem keryga."
Attalaq 65:1.
Lehaza doran haiz talaq daina ya is tuher mai jis mai khawand bivi sy jama'a ker chuka ho jaiz nahi hai, siwaye is sorat k ky hamal zahir hojaye. aur agar hamal zahir hojaye to jab chahey talaq dey sakta hai, yh talaq waqai hojaye gi. aam logo mai aik ajeeb-o-gareeb baat mashor hai k doran hamal di gae talaq yaqey nahi hoti, yh bat darust nahi hai. hamla orat ko di gae talaq moaser hojati aur tamam talaqo mai mudet k aitbar sy yh ziada wasee talaq hai, lehaza hamla orat ko talaq daina admi k liye halal hai. agarcha is ny qareebi arsa mai is sy jama'a bhi kia ho. lekin agar is ny gair hamla orat sy kuch hi arsa qabal jama'a kia ho to phir is per intezar kerna zarori hai hatta k orat haiza hojaye aur phir pak ho ya yh hamal wajeh hojaye. Sarat Talaq mai irshad bari Ta'ala hai:

"aur hamla orton ki edat waza'a hamal hai."
At'talaq 65:4.
Yh is amar ki wajeh daleel hai k doran hamal di gaye talaq waqey hojati hai. Hazrat Abdul Allah bin umer R.A. ki hadis mai youn bhi hai k App (S.A.W) ny Hazrat umer R.A. sy farmaya:

"Issy hukam do k woh is sy roju kery, phir tuher ya hamal ki halat mai issy talaq dey."
sahi muslim' hadis: (5)-1471' wa jamia At'tramzi' hadis: 1176.
jab yh bat wazeh hogaye k doran haiz orat sy nikkah kerna jaiz aur sahi hai to meri rai mai khawand ko tuher tak bivi k pass nahi jana chaheye, is liye k agar woh tuher sy pehly is k pass jaye ga to is baat ka khatra hai k shayeed woh apny app per control na ker saky, woh kahiin doran haiz mamnu kaam ka irtekab na ker bethy, khas tour per jab woh jawan ho, to issy tuher tak intezar kerna chaheye jab bivi is haal mai ho k khawand sharamgah sy lutf andoz ho sakta ho.
Shaikh ibn Usaimin
🌷🌷🌷🌷🌷MAKTABA AL FURQAN SAMI GUJARAT 9998561553 🌷 🌷 🌷 🌷 🌷 🌻 🌻 🌻 🌻 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳