MOLOD K AQEQEY KA HUKAM

MOLOD K AQEQEY KA HUKAM

Question :
Molod k aqeqey k kia maini hain? kia yh farz hai ya sunnat?
Answer :
molod k aqeqey sy murad woh zabeeha hai bachy ki paidaish k bad satwey din taqarrub Elahi k Hasool aur olaad jaisi naimet k milny per Allah TA'ala k shuker k tour per zeebah kia jata hai. is k bary mai Ahl-e-ilm mai yh ikhtelaf hai k yh sunnat hai ya wajib! akser Ahl-e-ilm ny issy sunnat maoqadah qarar dia hai hatta k Imam Ahmed Rehmat-ul-laah to yahan tak farmaty hain k qarz ley ker aqeqa kia jaye, yani jis k pass maal nahi hai to woh qarz ley k ker aqeqa kery Allah TA'ala issy iska badl ata farma deyga Qk woh aik sunnat ko zindah kerta hai. Imam Ahmed REhmat-ul-Allah ny jo yh farmaya hai k qarz ley ley to yaad rahy k is sy woh shakhs murad hai jissy mustaqbil mai qarz ada kerny ki umeed hu aur jissy umeed na hu to woh qarz na ley. baherhaal Imam Ahmed rehmat ul Allah k is irshad sy maloom howa k yh sunnat moqadah hai aur app ki yh baat darust hai, lehaza bachy ki tarf sy do aur bachi ki tarf sy aik janwar (bakra, mendha) paidaish k satway din batour aqeqa zeebah kia jaye aur issy khud bhi khaye, dosto aur azizon ko tohfa bhi dey aur sadqa bhi kery aur is mai bhi koi harj nahi k issy pakka ker sadqa kia jaye aur rishta daron aur parosiyun wagaiara ko khany ki dawat per mado'u kia jaye. (sheikh ebn esimeen

NAFSIYATI HALAT, INKAR KA

NAFSIYATI HALAT, INKAR KA JAWAZ
Question :
Agar bivi apny khawand k mutalby per shadid nafsiyati halat ya kisi takleef dah bimari k wqt is k qareeb aany sy inkar ker dey to kia is sorat mai bivi gunaah gar hogi?
Answer :
Agar khawand bivi ko apny bister per bulaye to bivi per iski takmeel zarori hai. lekin agar woh kisi nafsiyati ya jismani bimari ki wajah sy is mutalby ki takmeel kerny mai qasir hai to is halat mai khawand k liye aisa mutalba kerna jaiz nahi hai. kyun k Nabi (S.A.W) ka irshad hai:

"Ebtada takleef daina aur kisi ko muqablatan takleef pohanchana jaiz nahi hai."
sanan ebn majah'hadis: 2340.
lehaza issy tawaquf kerna chaheye ya kisi gair mazer tareeky sy apni bivi sy lutf andozi kerni chaheye.
Lekin agar bivi bila wajah apny shoher ki khuwaish ko pura nahi kerti aur iski farman berdari nahi kerti to yh bohat bara gunaah hai. Nabi Akrem (S.A.W) farmaty haim:
"jab khawand apni bivi ko apny bister per bulaye aur bivi is k pass na aye, phir khawand ny is per narazgi ki halat mai raat guzari to farishty us orat per subha hony tak la'anatain bhejty hain."
dosri ravayat mai hai:
"woh orat jab tak khawand k pass aa nahi jati us wqt tak farishty us per la'anat kerty hain."
jab k teesri ravayat mai hai k
"Allah Ta'ala bhi aisi orat sy sakht naraz hujaty hain."
Sahi muslim' ahadis: (120-122)
jab k sanan ebn majah ki ravayat mai hai k Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:
"us zaat ki qasam jis k hath mai Mohammad ki jaan hai! orat is wqt tak apny rab ka haq ada nahi ker sakti jab tak apny shoher ka haq ada na kery, orat agar palan per bethi hu aur shoher issy bulaye tab bhi woh issy inkar na kery."
Sunan ebn majah' hadis: 1853.
Shaikh Mohammad Bin Saleh Usaimin

MERA KHAWAND CIGARETTE NOSHI KERTA HAI

MERA KHAWAND CIGARETTE NOSHI KERTA HAI

Question :
Mera khawand cigarette nosh hai jis sy woh sans ki takleef mai mubtala rehta hai, is k is fail sy baaz na aany ki wajah sy hamari zindagi mai kai mushkilat ny janam lia hai. 5 maah qabal is ny 2 rikat namaz nafil ada ker k qasam uthai k woh dobara cigarette noshi nahi keryga magar is k aik hafta baad hi woh dobara cigarette peeny laga, chanacha mai ny is talaq ka mutalba ker dia to is ny dobara aisa na kerny aur hamesha k liye is adat ko chorny ka wadah kia lekin ab mujhy is per qatan airmad nahi raha. is bary mai app ki darust rai kiya hai? iski qasam ka kufara kia hai? app mujhy kia nasihet kerna chahen gey?
Answer :
Cigarette noshi haram aur khabees ashia mai sy hai. is k beshumar nuasanaat hain. Quran Hakeem mai sorat Maidah k ander Allah Ta'ala ka farman hai:

"App sy deryaft kerty hain k is k liye kia kuch halal kia gaya hai? farma dijeye: Pakeeza cheezain tumhary liye halal ki gae hain."
Almaida 5:4.
Allah Ta'ala ny sorat Airaf mai Nabi Akrem (S.A.W) k osaaf biyan kerty huway farmaya:

"Aur woh in k liye pakeeza cheezain halal kerta hai aur khabees cheezo ko in per haram qarar daita hai."
Al airaaf 7:157.
aur is mai koi shak nahi k cigarette khabees cheezon mai sy hai, lehaza app k khawand per is ka tark karna wajib hai. Allah Ta'ala aur is k Rasool (S.A.W) ki etat k k paish-e-nazar, zaat bari Ta'ala ki narazi k asbab sy bachny ki khatir, apny deen, sahet aur gharelu hussan muashret ki khatir app k khawand ko cigarette noshi tark ker daini chaheye.
Qasam torny k juram mai is per kufara wajib hai. is k sath hi issy Allah Ta'ala k Hazoor touba kerna aur aindah k liye aisa na kerny ka aihed kerna chaheye. kufara 10 maskinu ko khana khilana ya inhain libaas pehnana ya gardan (gulaam) azaad kerna hai, khana khilana ki sorat mai inhain subha ya shaam ka khana khilana kafo hoga ya her aik maskeen ko shehri khurak sy nisf sa'a daina hoga. nisf sa'a ki miqdar taqreban kilo hai.
Hum apko wasiyat kerty hain k agar woh namaz parhta hai aur iski seerat achi hai aur cigarette noshi bhi chor daita hai to is sy talaq ka mutalba na karey aur agar woh is ma'asiyet per maser rahy to talaq ka mutalba kerny mai koi harj nahi hai. Hum Allah Ta'ala sy is k liye hadayat aur khalis touba ki toufeeq k liye duagu hain (shiekh ebn baaz)
Itba ki musalsal tehqeq sy sabit huwa hai k cigarette noshi cancer, heart attack, jiger, maidey aur pheparon ki akser bimariyon ka bunyadi sabab hai. cancer k 90 % mareez cigarette nosh pai gaye hain. aik serway k mutabiq 50 lakh salana cigarette nosh halaak hujaty hain jab k 2020 tak is ki tadad aik karore sy mujawiz huny ka khatra hai, lehaza aisi khater naak aur muhlik cheez sy bachna zarori hai. irshad bari ta'ala hai: "aur tum apny hath halakat (k kaam) mai na dalo." [al bakra 2:195] naiz irshad farmaya: "aur tum apny apko qatal na karo, beshak Allah tum per bohat rahem kerny wala hai." [alnissa 4:29]

BIVI KA APNY KHAWAND KO NASIHET KERNA

BIVI KA APNY KHAWAND KO NASIHET KERNA

Question :
Khawand masjid mai namaz bajamat ada kerny mai susti kerta hai, is per bivi issy samjhati hai. kia bivi aisa kerny sy gunaahgar hogi k khawand ka haq bivi per ziada hai?
Answer :
Agar khawand sharai muherikat ka irtekab kerta hu, Maslan: woh namaz bajamat ada kerny mai susti kerta hai ya manshiyat ka istemal kerta hai ya raat bhar tamash bini kerta hai aur is per bivi issy nasihat kerti hai aur is per bivi issy nasihet kerti hai to woh gunaahgar nahi hogi balky ajar-o-sawab ki mustahiq qarar paigi.
Irshad bari Ta'ala hai:
"'momin mard aur momin ortain apas mai aik dosry k madadgar hain, woh naiki ka hukam daity hain aur burai sy rokty hain aur namaz qaeem kerty hain aur zakat daity hain aur Allah aur is k Rasool ki etat kerty hain, yahi log hain jin per Allah zaror rahem farmaiga. beshak Allah zaberdast hai' khoub hikmat wala."
At-Touba 9:71
Jab k Rasool Allah (S.A.W) farmaty hain:
"tum mai sy jo shakhs burai deky to issy apny hath st mita dey, agar is ki taqat na hu to zuban sy roky aur agar yh bhi na ker saky to dil issy bura jany aur yh kamzor tareen emaan hai."
Sahi muslim' hadis:49.
Haan nasihet bindaz ahsan aur naram lehjy mai kerni chaheye kyun k is tarhan is ka qabool kerna aur is sy faidah uthana nisbatan asaan hota hai.
Shaikh Ibn Baz

ITAT SIRF NAIKI MAI HAI

ITAT SIRF NAIKI MAI HAI

Question :
Mai ny aik shakhs sy shadi ki. shadi k baad us ny mujh sy mutalba kia k mai is k bhaiyon sy chehry ka perdah na karon wagarna woh mujhy talaq dey dyga. daree halaat mujhy kia kerna chaheye jab k mujhy talaq sy khouf ata hai?
Answer :
Khawand k liye gair mardo k samny bivi ko be hijab kerna najaiz hai. khawand ko apny ghar mai itna kamzor aur mustasahil nahi hona chaheye k iski bivi is k bhaiyun, chachaun, in k beton aur is k behnuyo wagaira gair mehram rishty daro k samny apna chahra nanga kerny kliye majboor hu. aisa kerna qatan najaiz hai, agar khawand aisa hukam daita hai to bivi per iski etat wajib nahi hai Qk etat to sirf naiki k kamo mai hai. orat per perdah kerna zarori hai chahy iski padash mai woh issy talaq hi dey dey, agar woh aisa ker guzrey to Allah Ta'ala is sy behter intezam farma dega. In Sha Allah.Irshad bari Ta'ala hai:

"Agar woh alag alag hujayen gey to Allah Ta'ala her aik ko apni wusat sy ghani farma dyga."
Al nissa 4:130.
Nabi (S.A.W) ny farmaya:

"jo admi Allah TA'ala ki raza k liye koi cheez chor dey to Allah Ta'ala issy is k awwiz is sy behter dega."
Issi tarhan Allah Zul jalaal farmaty hain:

"aur jo shakhs Allah sy dary ga, Allah is k kaam mai asani paida ker dyga."
At'talaq 65:4.
agar bivi perdah kerti hu aur efat-o-esmat k asbab apnana chahti hu to khawand ko issy talaq ki dhamki nahi daini chaheye. nisaal Allah Alafiya.
Shaikh ibn Baz

KHAWAND KO BATAYE BAGAIR ISKA MAAL

KHAWAND KO BATAYE BAGAIR ISKA MAAL
Question :
mera khawand roz marrah ki zaroriyat k liye mujhy aur meri olaad ko kherch nahi daita, hum kabhi kabhar issy bataye bagair is k maal mai sy kuch ley laity hain. kia is tarhan hum gunaahgar thery gey?
Answer :
agar khawand bivi ko jaiz zaroriyat ki takmeel k liye bhi kherch muhaiya nahi kerta to is sorat mai bivi k liye khawand ko bataye bagair apni aur apny bachu ki zaroriyat k liye, fazol kherchi aur israf sy kinara kash rehty huway is k maal mai sy baqadar hajat laina jaiz hai. Hazrat Ayesha R.A. sy ravayat hai k hind bint utba R.A. kehny lagi:
"Aye Allah k Rasool! Abu sufyan bara kanjos shakhs hai. mujhy aur mery bachu ko itna nafqa nahi daita jo humain kafi ho".......... is per Rasool Allah (S.A.W) ny farmaya:

"is k maal mai sy itna ley lu jo tumhain aur tumhary bachu ko kafi ho."
sahi albukhari' hadis:2211' wa sahi muslim' hadis: 1714.
Shaikh ibn Baz