Bismillahirrahmanirraheem
HARRA KI KAHANI KI HAQIQAT (KYA HARRA KI JUNG KA YAZEED ZIMMEDAAR THA YA AHLE MADEENA)
baat shuru karne se pahle main ye bata dun ke koi ye na samjhe ki main
yazeed ki tarafdaari aur uska difa kar raha hun ya koi ye na samjhe ki
main hz hussain ra se bughz rakhta hun... Balki hamen tamam ambiya aur
tamam sahaba se gahri aqeedat hai aur sacchi muhabbat hai
KARBALA ka waqeya 61 hijri me huwa, us waqt sahaba kiram ki bhi ek acchi
khaashi tadaad maujood thi hz ali (ra) ka khaandaan bhi tha balki hz
ali ra ki apni aulaad dhaayi dozen( approx 30) se zyada thi, isi tarah
unke rishtedaar bhi they, lekin jahan tak karbala ke waqeya ka talluk
hai us par saari hukumat me koi khaas muttawajjeh saamne nahi aayi na is
waqeye ki wajah yazid ko " zaalim wa kaatil aur zinakaar wa badkaar"
qaraar de kar uske khilaaf kisi ne baghawat ko jayez samjha,
ye bhi dimaag me rakhna chahiye Ki hz hussain ra aur hz ibne zubair ra
un dono ke siwa baaqi sab logon ne yazid ki hukumat ya khilafat ko sahi
maan liya tha,
hz hussain ra ki mazlumaana shahadat ke baad hz abdullah bin zubair ra
makka me mukeem they aur shayad samjh rahe they ki unke liye maidaan ab
saaf hai , isliye wah hukumat haasil karne ke liye muhim me mashgool
they,
63 hijri me hafiz ibne hajar askalani ke mutabik AHLE MADINA me se
zyadatar logon ki jin me kuch sahaba ra bhi they unki hamdardiyan
abdullah bin zubair ra ke saath thi, unhi dino ek logon ka group taiyyar
huwa, jo "yazeed" ke yahan gaya, yazid ne unki badi khidmat ki, lekin
us group ne madina munawwara wapas aakar yazid ki kamiyan ginwaane shuru
kar diye aur uski taraf sharabnoshi, zinakaari etc etc ki baatein jod
karke un ko logon me khoob failaaya
(fath ul bari 13/18 h 1117)
jiske natije me ahle madina ne na sirf yah ki yazid ki bait se alag hone ka elaan Kar diya
"balki madina ke governor usman bin muhammad par hamla bol diya aur khaadaan bani umayya ko ghere(under custody) me le liya"
(tareekh tabri 4/370)
lekin ahle madina ke is bartaav ko bhale wa samjhdaar logon ne bilkul
pasand nahi kiya aur is waqeye se napasandidgi zaahir ki, jaisa ki azeem
tareen sahabi hz abdullah bin umar ra ke baare me sahih bukhari me aata
hai ki jab unko ahle madina ki is harqat ki khabar pahunchi to unhone
apne khaadaan yani baal bachhon ko ikattha kiya aur unse farmaya:-"
maine nabi(sws) ko farmate hue suna hai ki qayamat ke din har
kasam(bait) todne waale ke liye ek jhanda(nishan) gaad diya jaayega,
hamne us shakhs (yazid) se allah aur uske rasool ki bait ki hai, meri
nazar me usse zyada gaddari aur koi nahi ki ek shakhs ki allah aur uske
rasool ke naam par bait ki jaaye phir aadmi usi ke khilaaf uth khada ho,
yaad rakho tum mese kisi ke baare me bhi agar mujhe Yah malum huwa ki
usne yazid ki bait tod di hai ya wah bait todne waale ke peeche lag gaya
hai to mere aur uske beech koi talluq nahi rahega"
(sahih bukhari, fitan baab faal ind qaum shia)
isi tarah hz hussain ra ke bete hz zainul abideen rh ne bhi yazid ki bait ko todne ko pasand na kiya
(al bidaya wan nihaaya 8/218)
balki khaandaan hz ali ra aur ahle bait ke kisi shakhs ne bhi is mauke
par na bait todi na us baghawat me kisi tarah ka hissa liya
hafiz ibne kathir likhte hain:-" abdullah ibne umar ra, nabi(sws) ke aur
ahle bait ke kisi giroh ne bait nahi toda, na yazid ke bait ke baad
kisi aur se bait ki, abu talib ki aulaad (hz ali ka khaandaan) aur aur
abdul muttalib mese kisi ne bhi harra ke dino me(yazid ke khilaaf)
baghawat nahi kiya"
(al badaya wan nihaya 8/235)
MUHAMMAD BIN HANFIYA KI TARAF SE YAZID BIN MUAWIYA KI SAFAAI:
Hz hussain ra ke bhai muhammad bin hanfiya rh ne un logon ke saamne, jin
ke haath "bagawat" ki command thi, yazid ki bait tod dene aur uske
khilaaf kisi muhim me shirqat karne se na sirf inkaar kar diya balki
yazid par lagaye gaye ilzaamo ko bebuniyaad karaar diya aur yazid ki
safaai pesh ki, is mauke par unhone jo tareekhi bayan diya hai wah is
tarah hai-
haafiz ibne kathir likhte hain-
" Abdullah bin mutie aur unke saathi hz ali ra ke bete, muhammad bin
hanfiya rh ke paas gaye aur unhe yazid ki bait tod dene par razamand
karne ki koshish ki lekin unhone aisa karne se saaf inkar kar diya, is
par ibne mutie ne kaha " yazid sharab noshi, namaz tark karne wala aur
allah ki kitab ka munkar hai" Muhammad bin hanfiya ne kaha " tum jin
baaton ka zikr karte ho maine un me se koi cheez isme nahi dekhi, main
uske paas gaya hun, mera wahan qayam bhi Raha, maine usko hamesha namaz
ka paband, parhezgar, deen wa ilm ka taalib aur sunnat ka hamesha
paasdaar paya" Wah(mutie) kahne laga ,wah yah sab kuch banawat aur
dikhawe ke liye karta hoga, ibne hanfiya ne jawab me kaha " mujhse use
kaun sa darr ya laalach tha", jis ke bina par usne mere saath aisa
kiya?? Tum jo us ki sharab noshi ka jikr karte ho, kya tum me se kisi ne
khud use karte dekha hai?? Agar tumhare saamne usne aisa kiya hai to
tum bhi us ke saath is kaam me shareek rahe ho, aur agar aisa nahi hai
to tum is cheez ke baare me kya gawahi de sakte ho jiska tumhe pata hi
nahi, we kahne lage " ye baat hamare nazdeek sahih hai jabki ham me se
kisi ne use aisa karte nahi dekha" Ibne hanfiya rh ne farmaya " allah to
is baat ko tasleem nahi karta , wah to farmata hai:
" gawahi unhi logon ki bhrosemand hai jinko is baat ki zaati taur par jaankari ho"
jaao!! Main kisi baat me tumhara saath nahi de Sakta, we kahne lage "
shayad aap ko yah baat buri lagti ho ki yah maamla aapke elawa kisi aur
ke haath me rahe agar aisa hai to jhanda ham aapke hawale kiye dete
hain"
Biradar hussain ra ne kaha- " tum jis cheez par jung kar rahe ho, main
sire se usko jayez hi nahi samajhta, mujhe kisi ke peeche lagne ya logon
ko apne peeche lagaane ki zarurat hi kya hai?" we kahne lage-" aap isse
pahle apne baap ke saath milkar jo jang kar chuke hain"
unhone farmaya-" tum pahle mere baap jaisa aadmi" aur unhone jin se jang
ki "un jaise log" to laakar dikhao, uske baad main bhi tumhare saath
mil kar jung kar lunga"
we kahne lage, aap apne beton abul qaasim aur qaasim hi ko hamare hawale
kar den, unhone farmaya:-" main unko agar is tarah ka huqm dun to main
khud hi kyon na tumhare saath is kaam me sharik ho jaaun?? We kahne
lage, accha aap sirf hamare saath chalkar logon ko jung par taiyar kar
den, unhone farmaya-
" Subhanallah! Jisko main khud napasand karta hun aur usse bachta hun,
logon ko iska huqm kaise dun?? Agar main aisa karun to main allah ke
maamle me us ke bandon ka chahne wala nahi, balki bura chahne wala
hunga" we kahne lage -"ham phir aapko majboor karenge" unhone kaha "
main us waqt bhi logon se yahi kahunga ki allah se daro aur bandon ki
khushi ki khatir allah ko naraaz na karo"
( Al badaya wan nihaya 8/632)
magar in sab nek koshishon ke bawajood baghaawat ne badi naazuk soorat
ikhtiyaar kar li, yazid ko khabar pahunchi to baghawat ko khatm karne
ke liye fauj bhej di aur usko hidaya ki ke-" baghawat karne walon ko 3
din ki mohlat dena, agar is dauran we apna maamla sahi kar len to theek
hai warna phir tumhe kaarwahi ki ijaazat hai"
fauj ne apne khalife ke huqm ko ke mutabik amal kiya, lekin madina walon
ne is mohlat ka fayeda nahi uthaaya balki jung karne par muqaable me aa
gaye
iss hawale se harra ka waqeye ki bunyadi haqiqat malum ho sakti hai aur
yah hai ki is "baghawat" ko bhala chahne waale ne kis nazar se dekha??
Lekin in harra ke dino me, hadh se badi hui baaton se hatkar jo be-matlab baatein hi hain,
kyonki inka raawi ABU MUKHANNAF hi hai jo jhoota aur shia hai, yazeed ki
fauj ne jo baghawat ke khilaaf kaarwaahiyan(action) ki hain, un par
ulma sirf taana aur Tanqeed hi karte aaye hain, unhe bahtar wa sahih
kisi ne bhi nahi kaha.....
Agar kisi bhi darje me karbala wa harra ke waqeyon ka zimmedar yazid hi
ko maan bhi liya jaaye aur is bina par usko " badkaar,zaalim aur
zinakaar" bhi samjh liya jaaye tab bhi ye saare bade gunah hi maane
jaayenge,
aur bade gunahon ke karne se koi musalman na islam ke daayere se bahar hota hai na rahmat wa maghfirat khudawandi se mahroom,
agar allah chahe to uske tamam gunaah maaf kar sakta hai jaisa ji allah
ne kaha hai ki:-" shirk ke elawa chahunga to dusre gunaah maaf kar
dunga"
(surah nisa)
phir yazid ki maghfirat ke liye to khaas kar nabi(sws) ki basharat bhi
maujood hai aur qurani ayatein aur hadith e nabwi ke elawa ahle sunnat
ka aqeeda hai ki:-" allah taala kufr wa shirk ke elawa har gunah maaf
kar sakta hai"
ALLAH SAMJHNE KI TAUFEEQ DE....AMEEN